☪️JAMAAT AUR IMAAMAT KA BAYAAN:☪️
⛲️SAWAL:

➡️Kin loogo ko imaam banaana gunah hai ?

🌟JAWAB:

➡️Faasiq molin jaise sharaabi, juaari, zinakaari, soodkhoor, chugalkhoor aur daadhi mundaane waala ya kata kar ek musht (mutthi) se kam rakh ne waala aur woh badd mazhab ki jis ki badd mazhabi hadde kufr ko na pahunchi ho, unn loogo ko imaam banaana gunah hai aur unke peeche namaaz makruh tehreemi waajibul iaada hai.

⛲️SAWAL:

➡️Wahabi devbandi ke peeche namaaz padhna kaisa hai ?

🌟JAWAB:

➡️Wahabi devbandi ke aqeede kufri hai maslan unn loogo ka aqeeda ye hai ki jaisa ilm Huzur ﷺ ko haasil hai aisa ilm toh baccho, paagalo aur jaanwaro ko bhi haasil hai jaise ki unka peshwa molvi ashraf ali thanwi ne apni kitaab hifzul imaan me safa no:8 par Huzur ﷺ ke liye kul ilme gaib ka inkaar karte huwe sirf baaz ilme gaib ke bare me yun likha hai ki “Isme Huzur ki kya takhsee hai aisa ilm toh zaid wa umar balki har sab (baccho) maznoon balki jameea haiwanaat wa bahayam key liye bhi haasil hai” Maaz ALLAAH Rabbil Aalameen.

⏺️Iss tarah unke peshwaon ki kitaabon me bahuth se kufri aqeede hai jinhe woh haq maante hai isliye unke peeche namaaz padhna najaayiz wa gunah hai agar kisi ne galti se padhli ho toh phir se padhe agar dubaara nahi padhega toh gunahgaar hoga.

(Bahare Shariyath)

⛲️SAWAL:

➡️Kin loogo ko imaam banaana makruh hai ?

*🌟JAWAB:*

➡️Gawaar, andhe, walduzzina, amrad, kodhi, faaliz ki bimari waale, bars (kodh) waala jis ka bars zahir ho, inn sabko imaam banana makruh tanzeehi hai aur karahat uss waqt hai jabki jamaat me aur koyi unse behtar ho aur agar wahi mustahiqqe imaamat hai toh karahat nahi aur andhe ki imaamat me toh khafeef karahat hai.
(Bahare Shariyath)

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html