☪RASOOL AUR NABI:☪

⛲SAWAL:

➡Rasool aur Nabi koun hote hai ?

🌟JAWAB:

➡Rasool aur Nabi Khudaaye Ta’ala ke bande aur insaan hote hai. ALLAAH Ta’ala ne unko insaan ki hidaayath ke liye duniya me bheja hai. Woh bandon tak Khudaaye Ta’ala ka paigaam pahunchate hai.

⏺Moujize dikhaate hai, aur gaib ki baatein batate hai, Jhoot kabhi nahi bolte woh har gunah se paak saaf hote hai, unki tadaad kuch kam wa peish ek laakh choubees hazaar ya taqreeban doo laakh choubees hazaar hai (124000 aur 224000),

➡Sab se pehle Nabi Hazrath-E-Aadam عليه السلام hai aur sab se aakhri Nabi Hamare Paigambar Hazrath MUHAMMED MUSTAFA ﷺ hai.

⛲SAWAL:

➡Kya hum Hinduoun ke peshwawon ko Nabi keh sakte hai ?

🌟JAWAB:


➡Kisi shaks ko Nabi kehne ke liye Qur’aan wa Hadees se subooth chahiye aur Hinduoun ke peshwawon ke Nabi hone par Qur’aan wa Hadees se koyi subooth Nahi milta iss liye ham unhe Nabi nahi keh sakte.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html