*SHIRK WA KUFR KA BAYAN:*

⛲SAWAL:

➡Shirk kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Khudaaye Ta’ala ki Zaath wa Sifaath me kisi ko shareek tehraana Shirk hai. Zaath me shareek tehraane ka matlab yeh hai ke doo ya doo se ziyada khuda maane jaise Isaayi ke teen khuda maan kar mushrik huwe.

⏺Aur sifaath me shareek tehrane ka matlab yeh hai ki Khudaaye Ta’ala ki sifaath ki tarah kisi dusre ke liye koyi sifaath saabith kare maslan sunna aur dekhna wagairah jaisa ki Khudaaye Ta’ala par saabith hai, usi tarha kisi dusre ke liye sunna aur dekhna wagairah zaathi taur par maane ki bagair Khuda ke diye usse yeh sifaathein khud hasil hai, toh shirk hai aur agar kisi dusre ke liye atayi taur par maane ke Khudaaye Ta’ala ne usse ye sifaatein ataa ki hai toh shirk nahi


➡Jaisa ki ALLAAH Ta’ala ne khud insaaf ke baare me Paara 29 Ruku 19 me farmaaya jiska tarjuma yeh hai ki hamne insaan ko sunne waala dekhne waala banaaya.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html