☪️NAMAAZ KE SUNNATE:☪️
⛲️SAWAL:
➡️Namaaz me sunnato ka bayaan farmayiye ?
🌟JAWAB:
➡️Namaaz ki sunnate ye hai, tehreema ke liye haath uthaana aur haatho ki ungliyan apne haal par choodna takbeer ke waqt sar na jhukaana aur hatheliyo aur ungliyo ke peit ka Qibla rukh hona, takbeer se pehle haath uthaana isi tarah takbeere qunoot wa takbeerate Eidein me kaano tak haath le jaane ke baad takbeer kehna.
⏺️Aurato ko sirf kandho (mundho) tak haath uthaana imaam ka ALLAAHu akbar, SamiALLAAHuliman hamidah aur salaam buland aawaaz se kehna takbeer ke baad haath latkaaye bagair fauran baandh lena, sana, taouz tasmiya padhna aur aameen kehna aur inn sab ka hona pehle sana padhna fir taouz fir tasmiya aur har ek ke baad dusre ko fauran padhna,
➡️Ruku me teen baar Subhana Rabbial Azeem kehna aur ghutno ko haatho se pakadna aur ungliyan khoob khuli rakhna, aurato ko ghutno par haath rakhna aur ungliya kushaada(khuli) na rakhna, haalate ruku me taange seedhi hona, ruku ke liye ALLAAHu akbar kehna, ruku me peet khoob bichi rakhna, ruku se uthne par haath latka huwa choodh dena, ruku se uthne me imaam SamiALLAAHuliman hamidah kehna, muqtadi ko rabbana lakalhamd kehna aur akele ko doono kehna,
⏺️Sajde ke liye aur sajde se uthne ke liye ALLAAHu akbar kehna, sajde me kam se kam teen baar Subhana Rabbial Aala kehna, sajda karne ke liye phir ghutna phir haath phir naak phir peshaani (matha) zameen par rakhna aur sajde se uthne ke liye pehle peshaani (matha) phir naak phir haath phir ghutna zameen se uthaana,
➡️Sajde me baazu karwato se aur peit raano se alag hona aur kutte ki tarah zameen par kalayiya na bichaana, aurato ka baazu karwato se peit raano se raan pindaliyo se aur pindaliya zameen se mila dena, doono sajdo ke darmiyan(beech) Tashahud ki tarah baithna aur haatho ko raano par rakhna, sajdo me haatho ki ungliyo ka Qibla rukh hona aur mili huwi na hona aur paawo ki dus ungliyo ke peit zameen par lagaana,
⏺️Dusri rakaat ke liye panjo ke bal ghutno par haath rakh kar uthna, Qaida me baaya paaw bichaakar doono sureen (khula) uspar rakh kar baithna, dahina pair khada rakhna aur dahine pair ki ungliyan Qibla rukh (Qible ki taraf) karna, aurat ko doono paaw dahini taraf nikaal kar baaye sureen (khula) par baithna,
➡️Dahina haath dahini raan par aur baaya haath baayi raan par rakhna aur ungliyo ko apni halath par choodhna, shahaadath par ishara karna, Qaida-e-aakhira me tashahud ke baad darood shareef aur dua-e-masoora padhna.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html