SHIRK WA KUFR KA BAYAN

⛲SAWAL:

➡Kufr kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Zaruriyate deen me se kisi ek baat ka inkaar karna Kufr hai. Zaruriyate deen bahuth hai unme se kuch ye hai Khudaaye Ta’ala ko ek aur waajibul wajood maanna uski zaath wa sifaath me kisi ko shareek na samajhna, zulm aur jhoot wagairah tamaam ayeb se usko paak maanna, uske malaaika aur uski tamaam kitaabo ko maanna,

⏺Qur’aan majeed ki har aayat ko haq samajhna, Huzur Sayyade Aalam ﷺ aur tamaam Ambiya-e-karam ki nuboowath ko tasleem karna un sabko azmath waala jaanna, unhe zaleel aur chota na samajhna unki har baat jo qatayi aur yakhini taur par saabith ho usse haq jaanna Huzur ﷺ ko Qatimun Nabiyeen maanna unke baad kisi nabi ke paida hone ko jayiz na samajhna,

➡Qiyamat, Hisaab wa kitaab aur Jannat wa Dozaq ko haq maanna, Namaaz wa Roza aur Haj wa Zakaat ki farziyaat ko tasleem karna, Zina, Chori aur Sharaab noshi wagairah haraam qataayi ki hurmat ka itiqaad karna aur kafir ko kafir jaanna wagairah.

⛲SAWAL:

➡Kisi se Shirk ya Kufr ho jaaye toh kya kare ?

🌟JAWAB:


➡Tauba aur tajdeede Imaan kare biwi waala ho toh tajdeede nikha kare aur mureed ho toh tajdeede baiyyat bhi kare.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html