*☪HAMARE NABI:☪*
⛲SAWAL:
➡Hamare Nabi koun hai ? Unka kuch haal bayan kijiye ?
🌟JAWAB:
➡Hamare Nabi Hazrath MUHAMMED MUSTAFA ﷺ hai, jo 12 Rabiul Awwal Mutaabik 20 April sun 571 EO me Makkah shareef me paida huwe unke waalid ka naam Hazrath-E-Abdullah aur waalida ka naam Hazrath-E-Aamina رضوان الله اجمعين hai.
⏺Aap ﷺ ki zaahiri zindagi Tirsat (63) baras ki huwi, Tirpan (53) baras ki umr tak Makkah shareef me rahe fir dus saal Madeena Taiba me rahe 12 Rabiul Awwal sun 632 EO zaahiri zindagi me wafaath paayi, Aap ﷺ ka mazare mubaarak Madina shareef me hai. Jo Makkah shareef se taqreeban 320 km upar hai.
⛲SAWAL:
➡Hamare Nabi ﷺ ke kuch khubiya bayan kijiye ?
🌟JAWAB:
➡Hamare Nabi ﷺ Sayyidul Ambiya aur Nabiul Ambiya yani Ambiya-e-karam ke Sardar hai aur tamaam Ambiya Huzur ﷺ ke Ummathi hai.
⏺Aap ﷺ Qatimun Nabiyeen hai, yani aap ke baad koi Nabi nahi paida hoga. Jo shaks aap ke baad Nabi hone ko jayiz samjhe woh kaafir hai.
➡Saari Maqluqaath Khudaaye Ta’ala ki Raza chahti hai, aur Khudaaye Ta’ala Huzur ﷺ ki Raza chahta hai. Huzur ﷺ ki farmabardaari ALLAAH Ta’ala ki farmabardaari hai. Zameen wa aasmaan ki saari cheezein aap ﷺ par zaahir thi duniya ke har goshey aur har koone me Qiyamat tak jo kuch hone waala hai. Huzur ﷺ usse iss tarha mulahiza farmate hai, jaise koyi apni hatheli dekhe, upar, neeche, aage aur peeche yaksa dekhte hai.
⏺Aap ﷺ ke liye koyi cheez aad nahi ban sakthi Huzur ﷺ jaante hai ke zameen ke andar kaha kya ho raha hai, khushu jo dil ki ek kaifiyath ka naam hai, Huzur ﷺ usse bhi mulahaza farmate hai, hamare chalne, firne, uthne, baithne, khaane peene wagairah har qaul wa feil ki Huzur ﷺ ko har waqt qabar hai.
⛲SAWAL:
➡Kya hamare Nabi ﷺ zinda hai ?
🌟JAWAB:
➡Hamare Nabi ﷺ aur tamaam Ambiya-e-karam عليه السلام zinda hai. Hadees shareef me hai ke sarkare aqdas ﷺ ne farmaya ki Khudaaye Ta’ala ne zameen par Ambiya-e-karam عليه السلام ke jismon ko khaana haraam farmadiya hai. Toh ALLAAH ke Nabi ﷺ zinda hai rozi diye jaate hai.
📜(Mishkath Shareef 121 P)
⛲SAWAL:
➡Jo shaks Ambiya-e-karam ke baare me kahe ke marker mitti me milgaye toh uske liye kya hukm hai ?
🌟JAWAB:
➡Aisa kehne waala gumrah badmazhab khabees hai.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html