☪TAYAMMUM KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Tayammum karne ka tariqa kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Tayammum karne ka tariqa ye hai ki awwal dil me niyyath kare fir doono haath ki ungliya kushaada karke zameen par maare aur ziyada gard lag jaaye toh jhaadle fir usse saare muh ka mas’a kare fir dubara zameen par doono haath maarkar dahine haath ko baaye haath se aur baaye haath ko dahine haath se kohniyon sameth male.

⛲SAWAL:

➡Zuban se tayammum ki niyyath ada karte waqt kya kahe ?

🌟JAWAB:


➡Ye kahe Niyyath ki maine tayammum ki ALLAAH Ta’ala ka takarrub haasil karne ke liye.

⛲SAWAL:

➡Tayammum ka ye tariqa Wuzu ke liye hai ya Gusl ke liye ?

🌟JAWAB:

➡Tayammum ka yahi tariqa wazu aur Gusl dono ke liye hai.

⛲SAWAL:

➡Tayammum me kitni baate farz hai ?

🌟JAWAB:

➡Tayammum me teen(3) baate farz hai, Niyyath karna, Poore muh par haath pherna, Doono haatho ka kohniyon sameth mas’a karna, agar angoothi pehne ho toh uske neeche haath pherna farz hai, aur aurat agar choodi(Bangales) ya zewar pehne ho toh usse hata kar har hisse par haath pherna farz hai.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html