☪NAMAAZ KE FARAAIZ:☪
 
⛲SAWAL:

➡Namaaz me kitni cheeze farz hai ?

🌟JAWAB:

➡Namaaz me chey (6) cheeze farz hai,
(1)Qiyaam,
(2)Qirat,
(3)Ruku,
(4)Sajda,
(5)Qaida-e-aaqira, (6)Quruja bisunihi.

⛲SAWAL:

➡Qiyaam farz hai iska kya matlab hai ?

🌟JAWAB:

➡Iska matlab ye hai ki khade ho kar namaaz adaa karna zaruri hai toh agar kisi ne bagair ujr baith kar namaaz padhi toh na huwi, khwaah aurat ho ya mard. Haan nafl namaaz baith kar padhna jaayiz hai.

⛲SAWAL:

➡Qirat farz hai iska kya matlab hai ?

🌟JAWAB:


➡Iska matlab ye hai ki farz ki doo rakaato me aur witr sunnat aur nafl ki har rakaato me Qur’aan shareef padhna zaruri hai toh agar kisi ne inme Qur’aan na padha toh namaaz na hogi.

⛲SAWAL:

➡Qur’aan Majeed aahista padhne ka adna(kam) darja kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Aahista padhne ka adna darja ye hai ki khud sune agar iss qadar aahista padha ki khud na suna toh namaaz na hogi.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html