☪️QIRAATH KA BAYAAN:☪️

⛲️SAWAL:

➡️Pehli rakaat me jo surat padhi phir usi ko dusri rakaat me bhool kar shuru kar di toh kya kare ?

🌟JAWAB:

➡️Phir usi surat ko shuru kar di toh usi ko padhe aur qasdan (jaan bujkar) aisa karna makruh tanzeehi hai haan agar dusri yaad na ho toh harz nahi.

⛲️SAWAL:

➡️Dusri rakaat me pehli waali se upar ki surat padhi yaani pehli me Qul ya ayyuha kafiroon aur dusri me Inna aa taina kal kausar padhi toh kya hukm hai ?

🌟JAWAB:

➡️Dusri rakaat me pehli waali se upar ki surat ya aayat padhna makruh tehreemi aur gunah hai magar bhool kar aisa ho toh na gunaah hai aur na sajda-e-sahu.

⛲️SAWAL:

➡️Bhool kar dusri rakaat me upar ki surat shuru kar di phir yaad aaya toh kya kare ?

🌟JAWAB:


➡️Jo shuru kar chuka hai usi ko poori kare agarche abhi ek hi harf padha ho.

⛲️SAWAL:

➡️Pehli me Alam tara kaifa aur dusri me Lee Ilaafi choodh kar Araitallazi padhna kaisa hai ?

🌟JAWAB:

➡️Dusri me ek chooti surat choodh kar padhna mana hai aur bhool kar shuru kar di toh usi ko qatm kare choodne ki ijaazath nahi.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html