⛲TAHIYATUL WUZU:
 
➡Muslim shareef me hai ki Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya jo shaks wuzu kare aur accha wuzu kare aur zaahir wa baatin se mutawajjeh hokar doo rakaat (namaaz tahiyatulwuzu) padhe uske liye jannat waajib ho jaati hai.

🌟NAMAAZE ISHRAQ:

➡Tirmizi shareef me hai ki Huzur ﷺ ne farmaya ki jo fajr ki namaaz jamaat se padh kar khuda ka zikr karta rahe yaha tak ki suraj buland ho jaaye phir doo rakaat (namaaze ishraq) padhe toh usko poore haj aur umra ka sawaab milega.

⛲NAMAAZE CHAASHTH:

➡Chaashth ki namaaz mustahab hai kam se kam doo aur ziyaada se ziyaada baarah (12) rakaate hai tirmizi aur ibne maaza me hai ki Huzur ﷺ ne farmaaya jo chaashth ki doo rakaato par muhafazaat kare uske gunaah baksh diye jaayenge agarche samandar ke jhaag ke baraabar ho.


🌟NAMAAZE TAHAJJUD:

➡Tahajjud ki namaaz ka waqt isha ki namaaz ke baad so kar uthe uss waqt se tuluye subah sadiq tak hai tahajjud ki namaaz kam se kam doo rakaat hai aur Huzur ﷺ se aath (8) tak saabith hai, hadees shareef me iss namaaz ki badi fazilath (badaayi) aayi hai nasaayi aur ibne maaza ne apni sunan me riwaayat ki ke RasoolALLAAH ﷺ ne farmaaya jo shaks raat me bedaar ho (jaage) aur apne ahal ko jagaaye phir doono doo doo rakaat padhe toh kasrat se yaad karne waalo me likhe jaayenge.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html