☪BIDA’ATH KA BAYAN:☪
⛲SAWAL:
➡Bida’ath kise kehte hai ? aur uski kitni qisme hai ?
🌟JAWAB:
➡Istilaahe Sharaa (Islami Zaban) me Bida’ath aise cheez ke ijaad karne ko kehte hai jo Huzur ﷺ ke zaahiri zamaane me na ho khwah woh cheez deeni ho ya duniyawi
(Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125)
⏺Aur Bida’ath ki teen qisme hai Bida’athe Hasna, Bida’athe Sayyia, Bida’athe Mubah.
➡Bida’athe Hasna woh Bida’ath hai jo Qur’aan wa Hadees ke wasool wa qawaid ke mutabiq ho aur unhi par qiyaas kiya gaya ho uski doo qisme hai. Awwal Bida’athe Waajiba jaise Qur’aan wa Hadees samajhne ke liye ilme nahav ka seekhna aur gumrah firke maslan Khaarji, Raafzee, Qaadiyani aur Wahabi wagairah par rad ke liye dalaayil qayam karna.
⏺Duwwam Bida’athe Mustahaba jaise madrason ki taamir aur har woh neik kaam jiska riwaaj ibtidaaye zamaane me nahi tha jaise azaan ke baad salaat pukaarna, durre muqtaar babul azaan me hai ki azaan ke baad Assalatu Wasallamu Alaika Ya Rasoolullaah ﷺ pukaarna, maahe Rabbiul Aaqar sun 781 Hijri me jaari huwa aur ye Bida’athe Hasna hai.
⛲SAWAL:
➡Bida’athe Sayyia kise kehte hai ? aur uski kitni qisme hai ?
🌟JAWAB:
➡Bida’athe Sayyia woh Bida’ath hai jo Qur’aan wa Hadees ke usool wa qawaid ke muqalif ho (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) uski doo qisme hai. Awwal Bida’athe Muharrama jaise Hindustan ki mukhwajaa taaziyadaari (Fatawa Azeeziya Risala Taaziyadaari Aala Hazrath) aur jaise ahle sunnat wa jamath ke khilaf naye aqeeda waalon ke mazaahib (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125)
⏺Duwwam Bida’athe Makruha jaise Juma wa Eidein ka khutba gaire arabi me padhna.
⛲SAWAL:
➡Bida’athe Mubah kise kehte hai ?
🌟JAWAB:
➡Jo cheez Huzur ﷺ ke zaahiri zamaane me na ho aur jiske karne na karne par sawaab wa azaab na ho usse Bida’athe Mubah kehte hai (Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125) jaise khaane peene me kushadagi iqtiyaar karna aur rail gaadi wagairah me safar karna.
⛲SAWAL:
➡Hadees shareef me hai ki har Bida’ath gumrahi hai toh isse kounsi Bida’ath muraad hai ?
🌟JAWAB:
➡Iss Hadees shareef se sirf Bida’athe Sayyia muraad hai {Dekhiye Mirkath Sharah Mishkath Jild awwal safa 179 aur Ashia Tullamaath Jild awwal safa 125}
⏺Isliye ki agar Bida’ath ki tamaam qisme muraad li jaye jaise ki zaahire hadees se mafhoom hota hai toh fiqah Ilme karam aur sarf wa nahv wagairah ki tadween aur unka padhna padhaana sab zahaalath wa gumraahi ho jayega.
```📌 Click Here For Other Parts-```
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html