⛲SALATUT TASBEEH:

➡Salatut tasbeeh me beinteha sawaab hai, baaz muhaqqiqeen farmaate hai ki uski buzurgi sunkar tark na karega magar deen me susti karne waala hadees shareef me hai ki Huzur ﷺ ne Hazrate Abbas رضي الله عنها se farmaya ki “Aye chacha agar tum se ho sake toh salatut tasbeeh roz ek baar padho, agar roz na ho sake toh har jum’a ko ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh har mahine me ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh har saal me ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh umr me ek baar padho”.

⏺Iss namaaz ki tarkeeb sunne Tirmizi me Hazrate Abdullah ibne Mubaarak رضي الله عنها se iss tarah mazkoor hai ki takbeer tehrima ke baad sana padhe phir pandrah (15) baar yeh tasbeeh padhe – “SUBHANALLAAHI WALHAMDU LILLAHI WALA ILAHA ILLALAAHU WALLAAHU AKBAR” phir Taouz, Tasmiya, Sure Fatiha aur Surat padh kar dass baar upar waali tasbeeh padhe phir ruku kare aur ruku me dass baar padhe phir ruku se sar uthaaye Tasmia-wa-Tehmeed ke baad dass baar wahi tasbeeh padhe phir sajde ko jaaye aur usme dass martaba padhe phir sajda se sar uthaaye toh dass baar padhe phir dusre sajde me jaaye toh dass baar padhe.

➡Iss tarah chaar rakaat padhe aur ruku wa sujood me “SUBHANA RABBIAL AZEEM” aur “SUBHANA RABBIAL AALA” kehne ke baad tasbeeh padhe.


🌟NAMAAZE HAAJAT:

➡Abu daawood me hai Hazrate Huzaifa رضي الله عنها farmate hai ki jab Huzur ﷺ ko koyi aham muamila peish aata toh aap uske liye doo ya chaar rakaat namaaz padhte. Hadees shareef me hai pehli rakaat me sure fatiha aur teen baar ayatal kursi padhe aur baaki teen rakaato me sure fatiha, qulhuwallaahu, qulaauzubi rabbil falaq aur qul aauzubi rabbinnaas ek ek baar padhe toh yeh aisi hai jaise shabe qadr me chaar rakaate padhi, mashaayiq farmate hai ki hamne yeh namaaz padhi aur hamari haajate (zarurate) poori huwi.

➡ L̺͆A̺͆S̺͆T̺͆ P̺͆A̺͆R̺͆T̺͆

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html