☪AZAAN WA IQAAMATH KA BAYAN:☪
⛲SAWAL:

➡Azaan kehna farz hai ya sunnat ?

🌟JAWAB:

➡Farz namaazo ko jamaat ke saat masjid me adaa karne ke liye azaan kehna sunnate muakkada hai, magar uss ka hukm misl waajib ke hai yaani agar azaan na kahi gayi toh waha ke sab loog gunehgaar honge.

⛲SAWAL:

➡Azaan kis waqt kehni chahiye ?

🌟JAWAB:

➡Jab namaaz ka waqt ho jaaye toh azaan kehni chahiye. Waqt se pehle jaayiz nahi agar waqt se pehle kahi gayi toh waqt hone par lautayi jaaye.

⛲SAWAL:

➡Farz namaaz ke alaawa aur bhi kisi waqt azaan kahi jaati hai ?

🌟JAWAB:


➡Haan, Bachche aur Magmoom(Fikrmand) ke kaan me, Mirgi waale gazabnaak aur badmijaaz aadmi ya jaanwar ke kaan me, Saqt ladayi aur aag lagne ke waqt, Mayyat ko dafan karne ke baad, Jin ki sarkashi ke waqt aur jungle me jab raasta bhool jaaye aur koyi bataane wala na ho, inn surathon me azaan kehna mustahab hai.
(Bahare Shariyat, Shaami Jild awwal safa 258)

⛲SAWAL:

➡Azaan ka behtar tariqa kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Masjid ke sahan se baahar kisi buland jagah par Qible ki taraf muh kar ke khade ho aur doono haatho ke kalimah ki ungliyo ko kaano me daalkar buland aawaaz se azaan ke kalimaat ko tehar tehar kar kahe jaldi na kare aur Hayya alassalaat kehte waqt dahine jaanib aur Hayya alalfalaah kehte waqt baaye jaanib muh phere.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html