☪️JAMAAT AUR IMAAMAT KA BAYAAN:☪️
⛲️SAWAL:
➡️Jamaat farz hai ya waajib ?
🌟JAWAB:
➡️Jamaat waajib hai, jamaat ke saat ek namaaz padhne se sattayis (27) namaazo ka sawaab milta hai, bagair uzr ek baar bhi choodne waala gunahagaar aur choodhne ki aadath kar lene waala faasiq hai.
⛲️SAWAL:
➡️Jamaat choodhne ke ujr kya kya hai ?
🌟JAWAB:
➡️Andha, ya apaahij hona, itna boodha ya bimaar hona ki masjid tak jaane se majboor ho, saqt baarish ya shadeed keechad ka hayil hona, aandhi ya saqt andheri ya saqt sardi ka hona aur paakhana wa peshaab ki saqt haajat (zarurath) hona wagairah.
⛲️SAWAL:
➡️Imaamat ka sabse ziyaada haqdaar kaun hai ?
🌟JAWAB:
➡️Imaamat ka sabse ziyaada haqdaar woh shaks hai jo namaaz wa tahaarath ke ahkaam sab se ziyaada jaanta ho. phir woh shaks jo tajweed yaani qiraat ki jaankaari ziyaada rakhta ho, agar koyi shaks inn baato me baraabar ho toh woh shaks ziyaada haqdaar hai jo ziyaada muttaqi ho agar iss me bhi baraabar ho phir ziyaada tahajjud guzaar. Garz ye ki chand aadmi baraabar ho toh unn me jo sharee tarjeeh rakhta ho wahi ziyaada haqdaar hai.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html