☪KITAABUL AAMAAL:☪
🖤WUZU KA BAYAN:🖤
⛲SAWAL:
➡Wuzu karne ka tariqa kya hai ?
🌟JAWAB:
➡Wuzu karne ka tariqa yeh ki pehle tasmiya (Bismillah) padhe fir miswaak kare agar miswaak na ho toh ungli se daanth masle fir doono haatho ko gatton tak teen baar dhoye
⏺Pehle dahine haath par paani daale fir baaye haath par doono haatho ko ek saat na dhoye fir dahine haath se teen baar kulli kare fir baaye haath ki choti ungli se naak saaf kare aur dahine haath se teen baar naak me paani chadhaaye
➡Phir poora chehra dhoye yaani peshani par baal ugne ki jagah se thuddi ke neeche tak aur ek kaan ki lou se dusre kaan ki lou tak har hisse par paani teen baar bahaye iske baad doono haath kohniyon sameth teen baar dhoye ungliyoun ki taraf se kohniyon ke upar tak paani daale kohniyon ki taraf se na daale fir ek baar doono haath se poore sar ka mas’a kare fir kaano ka aur gardan ka ek ek baar mas’a kare fir doono paawon ko takhno sameth teen baar dhoye.
⛲SAWAL:
➡Dhone ka kya matlab hai ?
🌟JAWAB:
➡Dhone ka matlab ye hai ki jis cheez ko dhoowo uske har hisse par paani behjaaye.
⛲SAWAL:
➡Agar kuch hissa bheeg gaya magar uss par paani nahi baha toh Wuzu hoga ya nahi ?
🌟JAWAB:
➡Iss tarah Wuzu hargiz na hoga bheegne ke saat har hisse par paani behjaana zaruri hai.
⛲SAWAL:
➡Wuzu me kitni cheeze farz hai ?
🌟JAWAB:
➡Wuzu me chaar(4) cheeze farz hai, Awwal Muh dhona yaani baal nikalne ki jagah se thuddi ke neeche tak aur ek kaan ki lou se dusre kaan ki lou tak aur Dusra Kohniyon sameth doono haath dhona, Teesra Chouthayi sar ka mas’a karna bheega huwa haath pherna, Choutha doono paawon ko takhno sameth dhona.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html