☪NAJAASAT KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Agar najaasate galeeza badan ya kapde par lag jaaye toh kya hukm hai ?

🌟JAWAB:

➡Agar najaasate galeeza ek dirham se ziyada lag jaaye toh uska paak karna farz hai ki bagair paak kiye namaaz padhli toh namaaz hogi hi nahi, aur agar najaasate galeeza ek dirham ke baraabar lag jaaye toh uska paak karna waajib hai ki bagair paak kiye padhli toh namaaz makruh tehreemi huwi yaani aisi namaaz ka dubaara padhna waajib hai aur agar najaasate galeeza ek dirham se kam lagi hai toh uska paak karna sunnat hai, bagair paak kiye namaaz padhli toh ho gayi magar khilaafe sunnat huwi aisi namaaz ka dubaara padhna behtar hai.
(Bahare Shariyat)

⛲SAWAL:

➡Agar najaasate khafeefa lag jaaye toh uska kya hukm hai ?

🌟JAWAB:


➡Najaasate khafeefa kapde ya badan ke jis hisse me lagi hai agar uski chouthayi se kam hai. Maslan daaman me lagi hai toh daaman ki chouthayi se kam hai ya aasteen me lagi hai toh uski chouthayi se kam lagi hai ya haath me haath ki chouthayi se kam lagi hai toh maaf hai aur agar poori chouthayi me lagi ho toh bagair dhoye namaaz na hogi.

⛲SAWAL:

➡Agar kapde me najaasat lag jaaye toh kitni baar dhone se paak hoga ?

🌟JAWAB:

➡Agar najaasat daagdaar hai jaise paakhana aur gobar wagairah toh uske dhone me koyi ginti mukarar nahi balki usko door karna zaruri hai agar ek baar dhone se door ho jaaye toh ek hi martaba dhone se paak ho jaayega aur agar chaar paanch martaba dhone se door ho toh chaar paanch martaba dhona padega.

⏺Haan agar teen martaba se kam me najaasat door hojaaye toh teen baar poora kar lena behtar hai, aur agar najaasat pathli ho jaise peshaab wagairah toh teen martaba dhona aur teeno martaba quwwath ke saat nichdne se kapda paak ho jaayega.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html