KHUDAAYE TA’ALA KI KITAABEIN:

⛲SAWAL:

➡Khudaaye ta’ala ki Kitaabein kitni hai ?

🌟JAWAB:

➡Khudaaye ta’ala ki choti choti bahut si kitaabein naazil huwi badi kitaab ko kitaab aur choti kitaab saheefah kehte hai, unme chaar kitaabe bahut mashoor hai,

1. Awwal TAURAITH jo Hazrath-E-MOOSA عليه السلام par naazil huwi,

2. Dusri ZABOOR jo Hazrath-E-DAWOOD عليه السلام par naazil huwi aur

3. Teesri INJEEL jo Hazrath-E-ISA عليه السلام par naazil huwi,

4. Chouthi QUR’AAN jo hamare Nabi Huzur MUHAMMED MUSTAFA ﷺ par naazil huwi.

⛲SAWAL:

➡Poora Qur’aane majeed ek dafa naazil huwa ya thoda thoda ?

🌟JAWAB:

➡Poora Qur’aane majeed ek dafa ikhatta nahi naazil huwa balke zaroorath ke mutaabiq teyis (23) baras me thoda thoda naazil huwa.

⛲SAWAL:

➡Kya Qur’aan majeed ki har surat aur har aayat par Imaan laana zaruri hai ?

🌟JAWAB:


➡Han Qur’aan majeed ki har surat par Imaan laana zaruri hai agar ek aayat ka bhi inkaar karde ya yeh ki Qur’aan jaisa naazil huwa tha aub waisa nahi hai, balki ghata bada diya gaya hai toh woh kaafir hai.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html