☪NAMAAZ PADHNE KA TAREEQA:☪
⛲SAWAL:
➡Namaaz padhne ka tariqa kya hai ?
🌟JAWAB:
➡Namaaz padhne ka tariqa ye hai ki baWuzu Qiblaru doono paawon ke panjo me chaar ungliyo ka faasla karke khada ho aur doono haath kaan tak le jaaye ki angoothe kaan ki lou se chu jaaye iss haal me ki hatheliyan Qibla rukh ho phir niyyat kare ALLAAHu akbar kehte huwe haath neeche laakar naaf ke neeche baandhle aur sana padhe.
“SUBHANAKALLAAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABAARA KASMUKA WA TA AALA JADDUKA WALA ILAAHA GAIRUKA”
⏺Phir Taouz yaani
‘AWUZU BILLAHI MINASH SHAITAAN NIRRAJEEM’
➡Phir Tasmiyah yaani
‘BISMILLAH HIRRAHMAAN NIRRAHEEM’
padh kar ALHAMDU padhe aur Aameen aahista kahe, uske baad koyi surat ya teen aayate padhe ya ek aayat jo ki chooti teen aayaton ke barabar ho.
⏺Aur ALLAAHu akbar kehta huwa ruku me jaaye aur ghutno ko haath se pakad le iss tarah ki hatheliya ghutno par ho, ungliya khoob pheli ho, peeth bichi ho aur sar peeth ke baraabar ho ooncha neecha na ho aur kam se kam teen baar
“SUBHANA RABBIAL AZEEM” kahe phir “SAMIALLAAHU LIMAN HAMIDAH” kehte huwe seedha khada hojaaye aur akele namaaz padhta ho toh uske baad “RABBANA LAKAL HAMD” kahe
➡Phir ALLAAHu akbar kehta huwa sajde me jaaye iss tarah ki pehle ghutne zameen par rakhe phir haath phir doono haatho ke beech me naak phir peshaani rakhe iss tarah ki peshaani aur naak ki haddi zameen par jamaaye aur baazoun ko karwato aur peit ko raano aur raano ko pindhliyo se juda rakhe aur doono paawon ki sab ungliya Qiblaru ho aur kam se kam teen baar “SUBHANA RABBIAL AALA” kahe
⏺Phir sar uthaye phir haath aur dahina qadam khada karke uski ungliya qiblarukh kare aur baaya qadam bicha kar uss par khoob seedha bait jaaye aur hatheliya bichakar raano par ghutno ke paas rakhe phir ALLAAHu akbar kehta huwa sajde me jaaye aur pehle ki tarah sajda karke phir sar uthaye phir haatho ko ghutno par rakh kar panjo ke bal khada hojaaye
➡Aur sirf ‘BISMILLAH HIRRAHMAAN NIRRAHEEM’ padh kar Qirath shuru kare phir pehle ki tarah ruku sajda karke baaya qadam bicha kar bait jaaye aur Tashahud padhe
“ATTAHI YATULILLAHI WASSALAWATU WATTAIBAATU ASSALAAMU ALAIKA AYYUHANNABIYYU WA RAHMATULLAHI WA BARKA TAHU ASSALAAMU ALAINA WA AALA IBAADILLAHISSALIHEEN ASHHADU ALLAAILAAHA ILLALAAHU WA ASHHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASSOLUHU”
⏺Tashahud padhte huwe jab kalimaye “LAA” ke qareeb pahunche toh dahine haath ke beech ungli aur angoothe ka halka banaye aur changuliya aur uske paas waali ko hatheli se milaade lafze “LAA” par kalima ki ungli uthaye magar usko hilaaye nahi aur kalimaye “ILLA” par gira de aur sab ungliya fauran seedhi karle
⏺Aur agar doo se ziyada rakaat padhni hai toh uth khada ho aur iss tarah padhe magar farzo ki unn rakaato me ALHAMDU ke saat surat milaana zaruri nahi aur pichla qaida(baithak) jiske baad namaaz qatm karega uss me Tashahud ke baad darood shareef padhe
"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMAA SALLAYITA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNKA HAMIDUM MAJEED."
"ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIN KAMAA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED."
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html