☪SUNNAT AUR NAFL KA BAYAAN:☪
⛲SAWAL:
➡Kitni namaaze sunnate muakkada hai ?
🌟JAWAB:
➡Doo rakaat fajr ke farz se pehle, chaar rakaat zohar ke farz se pehle aur doo rakaat farz ke baad, doo rakaat magrib farz ke baad, doo rakaat isha farz ke baad, chaar rakaat juma ke farz se pehle aur chaar rakaat juma farz ke baad. Inn sunnato ko “Sunnanatul huda” bhi kaha jaata hai.
🌟SAWAL:
➡Kitni namaaze sunnate gair muakkada hai ?
🌟JAWAB:
➡Chaar rakaat asr ke farz se pehle, chaar rakaat isha farz se pehle, zohar farz ke baad doo ke bajaaye chaar isi tarah, isha farz ke baad doo ke bajaaye chaar rakaat, magrib ke baad chey (6) rakaat salatul awwabeen, doo rakaat tahiyatul masjid, doo rakaat tahiyatul wuzu doo rakaat namaaze ishraaq kam se kam doo rakaat namaaze chaasth aur ziyaada se ziyaada baarah (12) rakaat,
⏺Kam se kam doo rakaat namaaze tahajjud aur ziyaada se ziyaada aant (8) rakaat, salaatutasbeeh, naaze istiqaara aur namaaze haajat wagairah in sunnato ko sunnuzzawaaid aur kabhi mustahab bhi kehte hai.
⛲SAWAL:
➡Jamaat khadi hone ke baad kisi sunnat ka shuru karna jaayiz hai ya nahi ?
🌟JAWAB:
➡Jamaat khadi ho jaane ke baad fajr ki sunnat ke alaawa kisi sunnat ka shuru karna jaayiz nahi, agar yeh jaane ki fajr ki sunnat padhne ke baad jamaat mil jaayegi agarche qaida (baithak) hi me shaamil hoga toh sunnat padhle magar saf (line) ke baraabar khade hokar padhna jaayiz nahi balki saf (line) se door hat kar padhe.
⛲SAWAL:
➡Kin waqto me nafl namaaz padhna jaayiz nahi ?
🌟JAWAB:
➡Tulu wa gurub (Suraj ka nikalna aur doobna) aur dopahar inn teeno waqto me koyi namaaz jaayiz nahi na farz na waajib aur na nafl, haan agar uss roz asr ki namaaz nahi padhi hai toh suraj doobne ke waqt padhle aur tulu-e-fajr se talu-e-aaftaab (suraj) ke darmiyaan siwaaye doo rakaat sunnate fajr ke tahiyatul masjid aur tahiyatul wuzu wagairah koyi nafl jaayiz nahi
⏺Aur namaaze asr se magrib ki farz padhne ke darmiyan nafl mana hai aur khutba ke waqt aur namaaze Eidein se peshtar (pehle) nafl makruh hai chaahe ghar me padhe ya Eidgah wa masjid me aur namaaze Eidein ke baad bhi nafl makruh hai jab ki Eidgah ya masjid me padhe ghar me padhna makruh nahi hai.
⛲SAWAL:
➡Nafl namaaz baith kar padh sakte hai ya nahi ?
🌟JAWAB:
➡Baith kar padh sakte hai magar jabki qudrat (taakat) ho to khade ho kar padhna afzal hai.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html