☪MAKRUH WAQTON KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Kya raat aur din me kuch waqt aise bhi hai jin me namaaz padhna jaayiz nahi ?

🌟JAWAB:

➡Ji haan suraj nikalne ke waqt, suraj doobne ke waqt aur dopahar ke waqt, kisi qism ki koyi namaaz padhna jaayiz nahi. Haan agar uss din asr ki namaaz nahi padhi hai toh suraj doobne ke waqt padhle magar itni deir karna saqt gunah hai.

⛲SAWAL:

➡Suraj nikalne ke waqt kitni deir namaaz padhna jaayiz nahi ?

🌟JAWAB:

➡Jab suraj ka kanara zaahir ho uss waqt se lekar taqriban bees minute tak namaaz padhna jaayiz nahi.

⛲SAWAL:

➡Suraj doobne ke waqt kab se kab tak namaaz padhna jaayiz nahi hai ?

🌟JAWAB:

➡Jab suraj par nazar teharne lage uss waqt se lekar doobne tak namaaz padhna jaayiz nahi hai aur ye waqt bhi taqriban bees minute hai.

⛲SAWAL:

➡Dopahar ke waqt kab se kab tak namaaz padhna jaayiz nahi ?

🌟JAWAB:

➡Theek dopahar ke waqt taqriban chalees, pachaas minute tak namaaz padhna jaayiz nahi.

⛲SAWAL:

➡Makruh waqt me namaaze janaaza padhna kaisa hai ?

🌟JAWAB:


➡Agar makruh waqto me janaaza laaya gaya toh ussi waqt padhe koyi karahat nahi. Karahat uss surath me hai ki pehle se janaaza tayyar moujood hai aur taaqir ki yaha tak ki waqte karahat aagaya.
*(Bahare Shariyat, Aalamgeeri)*

⛲SAWAL:

➡Inn makruh waqto me Qur’aan shareef padhna kaisa hai ?

🌟JAWAB:

➡Inn Makruh waqto me Quraan shareef na padhe toh behtar hai aur padhe toh koi harz nahi.
(Anwarul Hadees)

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html