"Baaz Log Yazeed Ke Afsos O Nadamat ka Zikr Kar Ke Usey Be-Qasoor Sabit Karne Ki Koshish Karte Hai."
Uski Nadamat Ki Haqeeqat 'Allama Ibne Aseer Rahmatullahi Taala Alaih Ke Qalam Se Padhye, Wo Likhte Hai'n:
Jab Imam E Aali Maqam Ka Sar E Aqdas Yazeed Ke Paas Pahoncha To Yazeed Ke Dil Me Ibne Ziyaad Ki Qadar O Manzilat Bad Gayi aur Jo Usne Kiya Tha Us Par Yazeed Bada Khush Huwa. Lekin Jab Usey Ye Khabar Milne Lagi Ke Is Wajah Se Log Us Se Nafrat Karne Lagey Hain, Us Par Lanaat Bhejte Hain Aur Usey Galiya'n Dete Hain To Phir Wo 'Imam Husain RadiAllahu Ta'ala Anhu Ke Qatil Par Nadim Huwa.

📕 (Tarikh E Kaamil, Jild-4: 84)

""Phir Yazeed Ne Kaha:
Ibne Ziyad Tu Ne HUSAIN RadiAllahu Taala Anhu Ko Qatal Kar Ke Mujhe Musalmano Ki Nigaho Me'n Mabgooz Bana Diya Hai, Un Ke Dilo Me Meri Adawat Bhar.Di Hai Aur Har Nek O Bad Shakhs Mujh Se Nafrat Karne Laga Hai Kyu Ki Wo Samajhte Hai Ke IMAM HUSAIN RadiAllahu Ta'ala Anhu Ko Qatl Kar Ke Mai Ne Bada Zulm Kiya Hai. Khuda Ibne Ziyaad Par Lanaat Kare aur Us Par Gazab Naazil Kare, Us Ne Mujhe Barbaad.Kar Diya.

📕 (Aizaan)

""Yazeed Ki Nadamaat O Pashemani Ki Wajah Aapne Padh Li. Is Nadamat Ka Adal O Insaaf se Zara sa Bhi Ta'aluq Nahi Warna Ek Aam Musalman Bhi Qatl Kar.Diya Jaye To Qatil Se Qisas Lena Haqqam Par Farz Hota Hai. Yaha
To Khandane Nabuwat Ke Qatl E Aam Ka Ma'amla Tha. Ibne Ziyaad, Ibne Saad, Shamar Ma'aloon Wagairah Se Qisaas Lena To Dar Kinaar Kisi Ko Us Ke Ahude Se Bar-Taraf Tak Na Kiya Gaya Aur Na Hi Koi Taa'Debi Karwayi Huwi.""

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/shahadat-e-imam-hussain.html