☪️NAMAAZ FAASID KARNE WAALI CHEEZE:☪️
 
⛲️SAWAL:

➡️Kin cheezo se namaaz faasid ho jaati hai ?

🌟JAWAB:

➡️Kalaam karne se khwaah amdan (Jaanboojkar) ho ya galti ya bhool kar apni khushi se baat kare ya kisi ke majboor karne par behtar surat namaaz jaati rahegi. Zuban se kisi ko salaam kare jaan kar ya bhool kar namaaz faasid ho jaayegi isi tarah zubaan se salaam ka jawaab dena bhi namaz ko fasid kar deta hai,

⏺️Kisi ki cheenk ke jawaab me “YarhamukALLAAH” kaha ya khushi ki khabar sun kar jawaab me “Alhamdulillah” kaha ya tajub me daalne waali khabar sun kar jawaab me “SubhaanALLAAH” kaha ya buri khabar sun kar jawab me “Inna lillahi wa inna ilaihi raajioon” kaha toh inn tamaam mashkalo me namaaz jaati rahegi.

⏺️Lekin agar khud usi ko cheek aayi toh hukm hai ki chup rahe aur agar “Alhamdulillah” kahliya toh bhi namaaz me haraj nahi. Namaaz padhne waale ne apne imaam ke alaawa dusre ko luqma diya (yaad dilaya) toh namaaz faasid ho gayi.

➡️Isi tarah apne muqtadi ke alaawa dusre ka luqma lena bhi namaaz ko faasid kar deta hai, aur galat luqma dene se luqma dene waale ki namaaz jaati rehti hai. “ALLAAHu akbar” ki alif ko kheench kar “AALLAAHu akbar” ya aakbar ya akbaar kehna namaaz ko faasid kar deta hai. Isi tarah “ALLAAHu akbar” ki ‘Ra’ ko ‘Da’ padhne se namaaz faasid ho jaati hai.

⏺️Aur “Nastaeen” ko “Nastaaeen” padhne se namaaz jaati rehti hai, aur anamath ki ta ko zabar ke bajaay zeir ya peish padhne se namaaz faasid ho jaati hai. Aaah, oh, uf tuf dard ya musibath ki wajah se kaho ya aawaaz ke saath roye aur huruf (akshar) paida huwe toh inn sab surato me namaaz jaati rahegi

➡️Lekin agar mareez ki zubaan se beiqtiyaar ‘Aah ya Oh’ nikle toh namaaz faasid na huwi isi tarah cheenk, khaansi, jamaahi aur dakaar me jitne huruf majbooran nikalte hai muaaf hai. Daaton ke andar khaane ki koyi cheez reh gayi thi usko nigal gaya agar chane se kam hai toh namaaz makruh huwi aur chane ke barabar hai toh faasid ho gayi.


⏺️Aurat namaaz padh rahi thi bacche ne uski chaathi choosi agar doodh nikal aaya toh namaaz jaati rahi. Namaaz ke aage se guzarna namaaz ko faasid nahi karta khwah guzarne waala mard ho ya aurat magar guzarne waala saqt gunahgaar hota hai.

➡️Hadees shareef me hai ki namaazi ke aage se guzarne waala agar janta ki iss par kya gunah hai toh zameen me dhans jaane ko guzarne se accha jaanta.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html