☪HAIZ, NIFAAS AUR JANAABAT KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Kya jis par Gusl farz ho woh masjid me nahi ja sakta ?

🌟JAWAB:

➡Jis par Gusl farz ho usse masjid ke uss hisse me jaana haraam hai ki jo dakhile masjid hai yani namaaz ke liye banaaya gaya hai aur woh hisse ki jo fanaaye masjid hai yani istinja qaana, Gusl qaana aur Wuzu gaah wagairah toh uss jagah jaane me koyi harz nahi bashart hai ki unme jaane ka raasta daakhile masjid se hokar na guzarta ho.

⛲SAWAL:

➡Aise mard wa aurat ki jin par Gusl farz hai woh Qur’aan ki taaleem de sakte hai ya nahi ?

🌟JAWAB:

➡Aise loog ek ek kalima saans tood tood kar padha sakte hai aur hijje karaane me koyi harz nahi.

⛲SAWAL:

➡Bewuzu Qur’aan shareef chuna wa padhna jaayiz hai ya nahi ?

🌟JAWAB:


➡Bewuzu Qur’aan shareef chuna haraam hai bechuye zubaani ya dekh kar padhe toh koyi harz nahi.

⛲SAWAL:

➡Bewuzu paarah Amma ya kisi dusre paarah ka chuna kaisa hai ?

🌟JAWAB:

➡Bewuzu paarah Amma ya kisi dusre paarah ka chuna bhi haraam hai.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html