IMAM-E-HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ki SHAHAADAT Ke Tafseeli Waaqiaat jaanne ke Liye SADRUL AFAAZIL MAULANA SAYYED NAEEM UDDIN MURAADABADI رَحمَتُ الـلَّـهِ تَعَالَى عَـلَـيـه Ki Kitaab"SAWAANEH KARBALA" Ka Mutaala Kiya Jaa Sakta Hai. Mukhtasar Yeh Hai ke HUSAINI KAAFILE Me'n Bachche, Khwaatin aur Mard Mila kar "72" Nufoos (Hastiyaa'n, Log) The Jo ke Jang ke Iraade Se Bhi Nahi Aaye The. Un ke Muqaable Ke Liye Yazeedi Fauj "22,000" Hazaar Sawaar aur Paidal Musallah-Afraad(Hatyaar Ke Saath Wale Log) Par Mushtamil (Shaamil) The. Is ke Baa-Wajood zaalimo'n ne AHLEBAIT AT'HAAR Rizwan ALLAH Ta'ala Ajmaeen Par Daryaa-e-Faraat Ka Paani Band Kar Diya. Teen (3) Din ke Bhooke Pyaase IMAM AALI MAQAAM RadiALLAHU Ta'ala Anhu Apne "18" AHLE BAIT Aur Deegar "54" Jaan Nisaaro'n Ke Hamraah (Saath)"10" Muharram, "61" Hijri Ko KARBALA Mein Nihaayat Be Dardi se SHAHEED Kar Diye Gaye.
اِناَّ لـِلَّـهِ وَ اِناَّ اِلَـيـهِ رَاجِـعُــون.
HAZRAT IBN-E-ABBAS RadiALLAHU Ta'ala Anhu Riwaayat hai ke Ek Din Dopaher ke Waqt Mai Ne RASOOLALLAAH Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ko Khwaab Me'n Dekha ke GESU-E-MUBAARAK(BAAL MUBAARAK) Bikhre Hue Hai'n aur DAST-E-MUBAARAKMe'n Khoon se Bhari Hui Ek Bottle Hai.Mai Arz Guzaar Hua ke Mere MAA BAAP AAP Par Qurbaan ! Yeh Kya Hai?
AAP Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ne Farmaaya:
"Yeh HUSAIN Aur Us Ke Saathiyo'n Ka Khoon Hai. MAI Din Bhar Ise Jama Karta Raha Hoon".
HAZRAT IBN-E-ABBAS RadiALLAHU Ta'ala Anhu Farmaate Hai'n Ke Mai Ne Woh Waqt Yaad Rakkha, Baad
Me'n Maaloom Hua ke IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Usi Waqt SHAHEED Kiye Gaye The..
📕 (MUSNAD AHMED, MISHKAAT)
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/shahadat-e-imam-hussain.html