☪KUWEN KA BAYAN:☪

⛲SAWAL:

➡Agar Chuha ya Billi kuwen me girkar mar jaaye aur phulne(moota) phatne se pehle nikaali jaaye toh kya hukm hai ?

🌟JAWAB:

➡Chuha, Chuchundar, Gouriya chidiya, Chipkali, Girgit ya inke baraabar ya inse chota koyi behte huwe khoon waala jaanwar kuwen me girkar mar jaaye aur phulne, phatne se pehle nikaal liya jaaye, toh bees doal se tees doal tak paani nikaala jaayega, aur agar Billi, Khabootar, Murgi ya itna hi bada koyi dusra jaanwar kuwen me girkar mar jaaye aur phulne, phatne nahi toh chalees se saant doal tak paani nikala jaayega.

⛲SAWAL:

➡Doal kitna bada hona chahiye ?

🌟JAWAB:


➡Jo Doal kuwen par padhta rehta hai wahi doal mutbar hai aur agar koyi doal khaas na ho toh aisa doal hona chahiye ki jisme takreeban sawa paanch kilo paani aajaaye.

⛲SAWAL:

➡Kuwen ka paani paak ho jaane ke baad kuwen ki deewar aur doal rassi bhi paak karna padhega ya nahi ?

🌟JAWAB:

➡Kuwen ki deewar aur doal rassi nahi paak karna padhega, paani paak hone ke saat ye sab cheeze bhi paak ho jaayengi.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html