☪AURATO KE LIYE NAMAAZ KE MAQSOOS MASAYEEL:☪
⛲Aurate takbeere tehrima ke waqt kaano tak haath na uthaye balki kandho tak uthaye, haath naaf ke neeche na bandhe balki baaye hatheli seene par chaathi ke neeche rakh kar uski peeth par dahini hatheli rakhe, ruku me ziyada na jhuke balki thoda jhuke yani sirf iss qadar ki haath ghutno tak pahunch jaaye, peeth seedhi na kare aur ghutno par joor na de balki mahaz haath rakh de aur haatho ki ungliya mili huwi rakhe aur paaw kuch jhuka rakhe mardo ki tarah khoob seedha na karde.
🌟Aurate simat kar sajda kare yani baazoun ko karwato se milade aur peit raano se aur raano ko pindhliyo se pindhliya zameen se juda na rakhe, aur qaida(baithak) me baaye qadam par na baithe balki doono paaw dahine janib nikaal de aur baaye sureen(puttha) par baithe, aurate bhi khadi hokar namaaz padhe.
⛲Farz aur waajib jitni namaaze bagair ujr baithkar padh chuki hai unki qaza kare aur tauba kare aurat mard ki imaamat hargiz nahi kar sakti aur sirf aurate jamaat kare ye makruh tehreemi aur najaayiz hai, aurato par Juma aur Eidein ki namaaz waajib nahi.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html