☪️NAMAAZ KE WAAJIBAAT:☪️
⛲️SAWAL:
➡️Namaaz me jo cheeze waajib hai unhe bataye ?
🌟JAWAB:
➡️Namaaz me yeh cheeze waajib hai, Takbeer-e-tehreema me lafze ALLAAHu akbar hona, Alhamdu padhna, Farz ki doo pehli rakaato me sunnat, nafl aur witr ki har rakaat me alhamdu ke saat surat ya teen chooti aayat milaana,
⏺️Farz namaaz me doo pehli rakaato me Qirat karna, alhamdu ki surat se pehle hona har rakaat me surat se pehle ek hi baar alhamdu padhna, alhamdu wa surat ke darmiyan kisi ajnabi ka fasil na hona.
➡️Qirat ke baad fauran ruku karna, sajde me doono paawo ke teen teen ungliyo ka peit zameen par lagana doono sajde ke darmiyan koyi rukn fasil na hona, taadil arkaan, Qauma yaani ruku se seedha khada hona, jalsa yaani doono sajdon ke darmiyan seedha baithna
⏺️Qaida-e-oola me tashahud ke baad kuch na padhna, har Qaida me poora tashahud padhna, lafze assalaam doo baar kehna, witr me dua-e-Qunoot padhna, takbeere qunoot, Eidein ki chaaron takbeere, Eidein me dusri rakaat ki takbeer-e-ruku aur uss takbeer ke liye lafze ALLAAHu akbar hona,
➡️Har zaahiri namaaz me imaam ko zaahir se qirat karna aur gair zaahiri me aahista, har waajib aur farz ka uski jagah par hona, ruku ka har rakaat me ek hi baar hona aur sujood ka doo hi baar hona, dusre se pehle Qaida na karna aur chaar rakaat waali me teesri par qaida na hona,
⏺️Aayate sajda padhi toh sajda-e-tilawat karna aur sahu ho toh sajda-e-sahu karna doo farz ya doo waajib ya waajib farz ke darmiyan teen tasbeeh ki miqdaar wakfa na hona, imaam jab qirat kare buland aawaz se khwaah aahista uss waqt muqtadi ka chup rehna aur siwaaye qirat ke tamaam waajibaat me imaam ki pairwi karna.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html