☪GUSL KA BAYAN☪
⛲SAWAL:
➡Kin surthon me Gusl karna farz hai ?
🌟JAWAB:
➡Mani ka apni jagah se sehwat ke sath juda hokar ujwa se nikalna, Ithilam, Hasafa yaani sare jakar ka aurat ke aage ya piche ya mard ke piche dakhil hona dono par gusl farz hota hai. Haiz se farig hona. Nifas ka khatam hona.
⛲SAWAL:
➡Kin waqto mein gusl karna Sunnat hai ?
🌟JAWAB:
➡Juma, Eid, Bakraeid, Arfa ke din aur Ehraam baandhte waqt nahana sunnat hai.
⛲SAWAL:
➡Kin surathon me Gusl karna mustahab hai ?
🌟JAWAB:
➡Waqoofe arfath, Waqoofe mujadlafa, Hazariye haram, Hazariye sarkare aazam ﷺ , Tawaaf, Dukhulemina, Teeno din jamron par kankariya maarne ke liye, Shabe baraat, Shabe qadr, Arfa ki raat, Majlise Milad shareef aur deegar majlise khair ki haziri ke liye, Murda nehlane ke baad, Majnoon ko junoon jaane ke baad, Gashi se ifaaqa ke baad, Nasha jaate rehne ke baad,
⏺Gunah se touba karne ke liye, Naya kapda pehen ne ke liye, safar me wapis ke baad, Istihaaza band hone ke baad, Namaaz khusoof, Istisaqa, Khauf, Taareeqi aur sakth aandhi ke liye, Badan par najaasat lagi ho aur ye maloom na ho ki kis jagah hai, Inn sab surathon me Gusl karna mustahab hai.
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html