☪ISTILAHATE SHARIYA KA BAYAN:☪
 
⛲SAWAL:

➡Farz aur waajib kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Farz woh kaam hai ki usko jaan booj kar chodhna saqt gunah aur jis ibadat ke andar woh ho bagair uske woh ibadat durust na ho.

⏺Aur waajib woh kaam hai ki usko jaan booj kar chodhna gunah aur namaaz me qasdan chodne se namaaz ka dubaara padhna zaruri aur bhool kar choot jaaye toh sajda-e-sahu laazim.

⛲SAWAL:

➡Sunnate muakkada aur Gair muakkada kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Sunnate muakkada woh kaam hai ki jiska chodhna bura aur karna sawaab hai aur ittifaqan chodhne par itaab aur chodhne ki aadath kar lene par mustahike azaab

⏺Aur sunnate gair muakkada woh kaam hai ki uska karna sawaab aur na karna agarche aadath ho itaab nahi magar sharan na pasand ho.

⛲SAWAL:

➡Mustahab aur Mubah kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Mustahab woh kaam hai ki jiska karna sawaab aur na karne par kuch gunah nahi aur mubah woh kaam hai ki jiska karna aur na karna baraabar ho.

⛲SAWAL:

➡Haraam aur makruh tehreemi kise kehte hai ?

🌟JAWAB:


➡Haraam woh kaam hai ki jiska ek baar bhi jaan booj kar karna saqt gunah hai, aur usse bachna farz aur sawaab hai,

⏺Aur makruh tehreemi woh kaam hai ki jiske karne se ibadat naakis ho jaati hai aur karne waala gunahgaar hota hai agarche uska gunah haraam se kam hai.

⛲SAWAL:

➡Makruh tanzeehi aur khilafe Aula kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Makruh tanzeehi woh kaam hai ki jiska karna shariyat ko pasand na ho aur usse bachna behtar aur sawaab ho, aur khilafe Aula woh kaam hai ki jiska na karna behtar hai aur karne me koyi muzaiqa(harz) aur itaab nahi.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html