YAZEED FASIQ-O-FAAJIR THA
""Baaz Juhalaa(Jahil ki Jamaa, Jahil Log) Kahte Hai'n Ke IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Par Laazim Tha Ke Wo Yazeed Ki Itaat(Bandagi, Farma-Bardaari)Karte..""

""Is Khayal E Bad(Buri Samaj) Ke Rad Me'n SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DAHLVI Farmatey Hai'n:

Yazeed IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ke Hote Huwe Ameer Kaise Ho Sakta Tha Aur Musalmano'n Par Uski Itaat Kaise Laazim Ho Sakti Thi Jab Ke Us Waqt Ke Sahaba'h E Kiraam Alaihim Ar-Ridwan Aur Sahaba'h E Kiraam Ki Jo Aulad Maujud Thi, Sab Uski Itaat Se Bezaari Ka Izhaar-O Ailaan Kar Chuke The.""

""MADEENA MUNAWWARA'H se Chand Log Us Ke Paas Shaam Me Zabardasti Pahonchaye Gaye The. Wo Yazeed Ke Na-Pasandeeda'h Aamal Dekh Kar Wapas MADEENA MUNAWWARA'H Chalay Gaye Aur Aarzi E Bait Ko Faskh(Todna, Mansookh Karna) Kar Diya. Un Logo Ne Barmala(Khulam Khula) Kaha Yazeed Khuda Ka Dushmaan Hai, Sharab Nosh Hai, Tarq-ul-Salath(Namaz Tarq Karne Wala) Hai, Zaani Hai, Faasiq Hai, Aur Mahram Se Bhi Sahoba Karne Se Baaz Nahi Aata.""

📕 (Takmil Ul Imaan : 178)

""Yazeed Ke Fisq O Fujoor Ke Mutalik Akabir Sahaba O Tabaeen Ke Aqwaal TAREEKH E TABRI, TAREEKH E KAAMIL aur TAREEK UL KHULFA Me'n Mulahiza Kiye Jaa Sakte Hai'n. Ikhtisaar(Khulaasa) Ke Peshe Nazar HAZRAT ABDULLAH BIN HANZALA GASEEL UL MALAIKA RadiALLAHU Ta'ala Anhuma Ka Irshaad Pesh E Khidmaat Hai. Aap Farmate Hai:KHUDA KI QASAM!! Ham Yazeed Ke Khilaaf Us Waqt Uth Khade Huwe Jab Hume Ye'h Khauf Lahaq Ho Gaya Ke (Us Ki Baad Kaariyo Ki Wajah Se) Ham Par Kahi Asmaan Se
Patthar Na Baras Pade Kyunki Ye'h Shaks Maa'o , Betiyo'n Aur Bahno'n Ke Saath Nikah Ko Jaiz Karar Deta Tha, Sharaab Peeta Tha Aur Namaz Chhordta Tha.""

📕 (Tabaqat Ibn E Saad, Jild - 5:66, Ibn E Aseer, Jild - 4:41, Taarikh Ul Khulfa : 306)

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/shahadat-e-imam-hussain.html.