""Allama Saad Uddin Taftazani Farmate Hai'n:

Haq Ye'h Hai Ke Yazeed Ka IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ke Qatal Par Raazi Aur Khush Hona, Aur Ahle Bait E Nabwat ki Ihaanat(Toheen)Karna Un Umoor(Kaamo'n)Me'n Se Hai Jo Tawatir E Maanavi Ke Saath Sabit Hai Agarcha Unki Tafaasil Ahad Hai'n. To Ab Hum Tawaqqaf(Dair) Nahi'n Karte Uski Shaan Me'n Balke Imaan Me'n ALLAH Ta'ala Us(Yazeed) Par, Us Ke Dosto'n Par Uske Madad-Garo Par Laanat Bhejey..

📕 (Sharah Aqaeed Nasafi, 102)

Imam Jalal Uddin Suyuti SHAHADAT E IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ka Zikr Kar Ke Farmate Hai'n, Ibne Ziyaad, Yazeed Aur IMAM HUSAIN RadiALLAH Ta'ala Anhu Ke Qatil , Teeno'n Par ALLAH ki Laanat Ho.

📕 (Taarikh ul Khulfa: 304).

Mashoor Mufassir Allama Mahmood Alusi Raqam Taraaz(Likhte) Hai'n, Mere Nazdeek Yazeed Jaise Shakhs Par Laanat Kar Qataa'n Jaiz Hai Aur Us Jaise Fasiq Ka Tasawwur Bhi Nahi Kiya Jaa Sakta.

Zahir Yahi Hai Ke Us Ne Tauba Nahi Ki Aur Us Ki Tauba Ka Ahtimaal(Shakh,Gumaan) Us Ke Imaan Se Bhi Ziada Kamzor Hai. Yazeed Ke Saath Ibn e Ziyad, Ibn e saad Aur Uski Jamat Ko Bhi Shamil Kiya Jayegaa. Pas ALLAH Ta'ala KiLaanat Ho Un Sab Par, Un Ke Saathiyo Aur Madad Gaaro'n Par Aur Un Ke Giro'h Par Aur Jo Un Ki Taraf Maeel(Aashiq, Jhuka Huwa) Ho Qayamat Tak Aur Us Waqt Tak Ke Koi Bhi Aankh Abu Abdullah HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Par Ansu Bahaye..

📕 (Rooh Ul Maani)

Pas Sabit Ho Gaya Ke Yazeed Paleed Laanat Ka MustahiqHai. Albata Hamare Nazdeek Us Maloon Par Laanat
Bhejne Me'n Waqt Zaya Karne Se Bahtar Hai Ke ZIKR E ILAHI Me'n Aur NABI E KAREEM Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Aur UnKi AAL par Darood-O-SalaamPadhne Me'n Mashgool Raha Jaye..

📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/shahadat-e-imam-hussain.html