☪NAMAAZ KI SHARTE:☪

⛲SAWAL:

➡Namaaz ki sharte kitni hai ?

🌟JAWAB:

➡Namaaz ki sharte chey (6) hai, jinke bagair namaaz sire se hoti hi nahi.

1. Taharat:

➡Yaani namaazi ke badan, kapde aur uss jagah ka paak hona ki jis par namaaz padhe.

2. Satr-e-aurat:

➡Yaani mard ko naaf se ghutno tak chupaana aur aurat ko siwaaye chehra, hatheli aur qadam ke poora badan chupaana, aurat agar itna bareek dupatta oodh kar namaaz padhe ki jis se baal ki siyahi chamke toh namaaz na hogi jab ki uss par koyi aisi cheez na oodhe ki jis se baal ka rang chup jaaye
(Aalamgeeri).

3. Isteqbaale Qibla:

➡Yani namaaz me Qibla ki taraf muh karna. Agar Qibla ki samth me shuba ho toh kisi se daryaaft karle agar koyi dusra moujood na ho toh gaur-o-fikr ke baad jidhar dil jame usi taraf muh karke namaaz padhle.

⏺Phir agar baade namaaz malum huwa ki Qibla dusri samth tha toh koyi harz nahi namaaz ho gayi.

4. Waqt:


➡Lihaaza waqt se pehle namaaz padhi toh na huwi jiska bayan tafseel ke saat pehle guzar chuka hai.

5. Niyyat:

➡Yaani dil ke pakke iraade ke saat namaaz padhna zaruri hai aur zubaan se niyyat ke alfaaz kehlena mustahab hai, iss me arabi ki kuch takhsees nahi urdu wagairah me bhi ho sakti hai, aur youn kahe niyyat ki maine niyyat karta hoon na kahe.

6. Takbire Tehreema:

➡Yaani namaaz ke shuru me ALLAAHu akbar kehna sharth hai.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html