IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ne Yazeedi Lashkar Ke Saamne Jo Khutba Diya Us Me'n Bhi Yazeed Ke Khilaf Nikalne Ki Yahi Wajah Irshaad Farmayee:
"'KHABARDAAR!! Beshak Un Logo'n Ne Shaitaan Ki Itaat Ikhtiyaar Kar Li Hai. Aur Rahmaan Ki Itaat Ko Chord Diya Hai Aur Fitna O Fasaad Barpa Kar Diya Hai Aur Hadud E Shara'ee Muaattal(Be-kaar) Kar Diya Hai. Ye'h Mahasal(MahsoolKi Jamaa, Lagaan) Ko Aapne Liye Kharch Karte Hai'n, ALLAH Ta'ala Ki Haraam Karda'h Baato'n Ko Halal Aur HalalKarda'h Ko Haraam Karar Deta Hai'n.''"

📕 (Taarikh Ibn E Aseer, Jild 4 ; 20)

SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DAHLVI Rahmatullah Ta'ala Alaihi Farmate Hai:.

'''Hamare Nazdeek Yazeed Mabguz(Qabil E Nafrat) Tareen Insaan Tha Us Bad-Bakht Ne Jo Kaar-Haye(AfsosNaak Kaam) Anjaam Diye Wo Is Ummat Me'n Se Kisi Ne Nahi Kiye.'"

""SHAHADAT E IMAM HUSAIN RadiALLAHU Ta'ala Anhu Aur Ihaanat(Be-Izaati, Zillat, Toheen) E AHLE BAIT Se Faarig(Aazad) Ho Kar Us Bad-Bakht Ne MADEENA MUNAWWARA'H Par Lashkaar Kashi(Hamla, Chadha'ee) Ki Aur Muqaddas Shaher Ki Be-Hurmati(Be-Izzati) Ke Baad AHLE MADEENA'H Ke Khoon Se Haath Range Aur Baki Bache Huwe Shahabio'n Ko Qatl Karne Ka Hukm Diya..""

""MADEENA'H MUNAWWARA'H Ki Takhreeb(Ujaadne, Kharab Karne) Ke Baad Us
Ne MAKKA MUAZZAMA'H ki Tabaahi Ka Hukm Diya Aur HAZRAT ABDULLAH BIN ZUBAIR RadiALLAHU Ta'ala Anhu Ki Shahadat Ka ZimeDaar Thahera. AurUnhi Haalat Me'n Wo Duniya Se Rukhsat Ho Gaya.""

📕(Takmil Ul Imaan, Page : 197)

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/shahadat-e-imam-hussain.html