☪️QIRAATH KA BAYAAN:☪️

⛲️SAWAL:

➡️Agar sure fatiha padhne ke baad surat milaana bhool jaaye aur ruku me yaad aaye toh kya kare ?

🌟JAWAB:

➡️Agar surat milaana bhool jaaye fir ruku me yaad aaye toh khada ho jaaye aur surat milaaye phir ruku kare aur aakhir me sajda-e-sahu kare.

⛲️SAWAL:

➡️Farz ki pehli doo rakaat me surat milaana bhool jaaye toh kya kare ?

🌟JAWAB:

➡️Farz ki pehli doo rakaato me surat milaana bhool jaaye aur ruku ke baad yaad aaye toh pichli doo rakaato me padhe aur sajda-e-sahu kare aur magrib ki pehli doo rakaato me bhool jaaye toh teesri me padhe aur ek rakaat ki surat jaati rahi, aakhir me sajda-e-sahu kare.

⛲️SAWAL:


➡️Agar farz ki pehli doo rakaato me se kisi ek me surat milana bhool jaaye aur ruku ke baad yaad aaye toh kya kare ?

🌟JAWAB:

➡️Teesri ya chouthi me suraye fatiha ke saat surat milaaye aur sajda-e-sahu kare.

⛲️SAWAL:

➡️Agar sunnat ya nafl me surat milaana bhool jaaye aur ruku ke baad sajda wagairah me yaad aaye toh kya kare ?

🌟JAWAB:

➡️Aakhir me sajda-e-sahu kare.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html