☪BIDA’ATH KA BAYAN:☪
⛲SAWAL:
➡Kya Bida’ath ka Hasna aur Sayyia hona Hadees shareef se bhi saabith hai ?
🌟JAWAB:
➡Haan Bida’ath ka Hasna aur Sayyia hona Hadees se bhi saabith hai Tirmizi shareef me hai ki Hazrath-E-Umar Farooqe Aazam رضي الله عنها ne Taraveeh ki baqaida jamaath qayim karne ke baad farmaya ki ye bahuth achchi Bida’ath hai
(Mishkath safa 115)
⏺Aur Muslim shareef me Hazrath-E-Zaabir رضي الله عنها se riwayath hai ki Rasool e Kareem ﷺ ne farmaya ki jo islam me kisi achche tariqe ko raayij karega toh usko apne raayij karne ka bhi sawaab milega aur unn loogon ke amal karne ka bhi sawaab milega jo uske baad uss tariqe par amal karte rahenge aur amal karne waalon ke sawaab me koyi kami bhi na hogi aur jo shaks mazhabe islam me kisi bure tariqe ko raayij karega toh uss shaks par uske raayij karne ka bhi gunah hoga aur unn loogon ke amal karne ka bhi gunah hoga jo uske baad uss tariqe par aml karte rahenge aur amal karne waalon ke gunah me koyi kami bhi na hogi.
(Mishkath safa 33)
⛲SAWAL:
➡Kya milaad shareef ki mehfil munaqid karna Bida’athe Sayyia hai ?
🌟JAWAB:
➡Milaad shareef ki mehfil munaqid karna uss me Huzur ﷺ ki paidayishi ke halaath aur deegar fazayil wa munaqib bayan karna barkath ka bayis hai. Usse Bida’athe Sayyia kehna gumraahi wa badmazhabi hai.
⛲SAWAL:
➡Kya Huzur ﷺ ke zamaane me maiyyath ka teeja hota tha ?
🌟JAWAB:
➡Maiyyath ka teeja aur issi tarah dasswan, beeswan aur chaleeswan wagairah Huzur ﷺ ke zaahiri zamaane me nahi hota tha balki ye sab baad ki ijaad hai aur Bida’athe Hasna hai issliye ke inn me maiyyath ke isaale sawaab ke liye Qur’aan qaani hoti hai.
⏺Sadqa qairath kiya jaata hai aur gurba wa masaakeen ko khana khilaya jaata hai aur ye sab sawaab ke kaam hai. Haan iss mouqe par dost wa ahbaab aur azeez wa aqaarib ki daawat karna zarur Bida’athe Sayyia hai.
(Shaami Jild awwal safa 30(0) 629 Fathhul Qadeer Jild duwwam safa 102)
📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html