☪NAMAAZ KE FARAAIZ:☪

⛲SAWAL:

➡Ruku ka adna(kam) darja kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Ruku ka adna darja ye hai ki haath ghutne tak pahunch jaaye aur poora ruku ye hai ki peet seedhi bichaade aur sar peet ke barabar rakhe ooncha neecha na rakhe.

⛲SAWAL:

➡Sajde ki haqeeqat kya hai ?

🌟JAWAB:

➡Peshaani zameen par jamna sajde ki haqeeqat hai, aur paawo ki ek ungli ka peit zameen se lagna sharth hai toh agar kisi ne iss tarah sajda kiya ki doono paaw zameen se uthe rahe toh namaaz na huwi balke agar sirf ungli ki naak zameen se lagi jab bhi namaaz na huwi.(Bahare Shariyath)

⛲SAWAL:

➡Kitni ungliyo ka peit zameen se lagna waajib hai ?

🌟JAWAB:


➡Doono paawo ki teen-teen ungliyoun ka peit zameen se lagna waajib hai.

⛲SAWAL:

➡Qaida-e-aqira ka kya matlab hai ?

🌟JAWAB:

➡Namaaz ki rakaate poori karne ke baad Attahiyyatu wa Rasoolahu tak padhne ki miqdaar tak baithna farz hai.

⛲SAWAL:

➡Quruja bisunihi kise kehte hai ?

🌟JAWAB:

➡Qaida-e-aqira ke baad qasdan manafiye namaaz koyi kaam karne ko Quruja bisunihi kehte hai, lekin salam ke alaawa koyi dusra munafi qasdan paaya gaya toh namaaz ka dubaara padhna waajib hai.

```📌 Click Here For Other Parts-```
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html