☪ALLAH TA’ALA:☪

⛲SAWAL:

➡ALLAH ta’ala ke baare me kaise aqida rakhna chahiye ?

🌟JAWAB:

➡ALLAH ta’ala ek hai uska koyi shareek nahi aasmaan wa zameen aur saari maqluqaath ka paida karne waala wahi hai. Wahi Ibaadath ke layiq hai dusra koyi Ibaadath ke layiq nahi hai. Wahi sabko rozi deta hai. Ameeri gareebi aur izzath wa zillath sab uske iqtiyaar me hai.

⏺Jise chahta hai izzath deta hai, aur jise chahta hai zillath deta hai. Uska har kaam hikmath hai. Bandon ki samaj me aaye ya na aaye wa har kamaal wa qoobi waala hai. Jhoot, Daga, Qiyanath, Zulm, Zihal wagairah har ayeb se paak hai. Uske liye kisi ayeb ka maan na kufr hai.

⛲SAWAL:

➡Kya ALLAAH ta’ala ko budhav kehna jayiz hai ?

🌟JAWAB:


➡ALLAH ta’ala ki shaan me aisa lafz bolna kufr hai.

⛲SAWAL:

➡Baaz log kehte hai ki “Upar waala jaisa chahega waisa hoga” aur kehte hai “Upar ALLAH hai neeche tum ho” ya iss tarah kehte hai ki “Upar ALLAH neeche paanch hai”.

🌟JAWAB:

➡Ye sab jumle gumraahi ke hai, musalmaano ko inse bachna nihaayath zaruri hai.

📌 Click Here For Other Parts-
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html