☪WITR KA BAYAAN:☪

⛲SAWAL:

➡Namaaz witr kis tarah padhi jaati hai ?

🌟JAWAB:

➡Namaaz witr bhi iss tarah padhi jaati hai jis tarah aur namaaz padhi jaati hai. Lekin witr ki teesri rakaat me Alhamdu aur surat padhne ke baad kaano tak doono haath le jaaye aur ALLAAHu akbar kehte huwe haath waapas laaye aur naaf (dhondi) ke neeche baandh le phir Dua-e-Qunoot padhe phir uske baad aur namaazo ki tarah ruku aur sajda wagairah karke salaam pheir de.

☪DUA-E-QUNOOT:☪

⏺️“ALLAAHumma inna nastayeenuka wa nastagfiruka wa numinu bika wa natawakkalu alaika wa nusni alaikal khair wa nashkuruka walaa nakfuruka wa nakhlav wa natruku maiyyafzuruka ALLAAHumma iyyakanabudu wa la ka nusalli wa nasjudu wa ilaya nasaa wa nah fidu wa narju rehmataka wa naqshaa azaabaka inna azaabaka bil kuffari mulhiq”.

⛲SAWAL:

➡Jis shaks ko Dua-e-qunoot yaad na ho woh kya padhe ?

🌟JAWAB:

➡Jis shaks ko Dua-e-qunoot yaad na ho woh ye dua padhe, “ALLAAHumma rabbana aatina fiddunya hasanaton wa fil aaqirati hasanaton waqina azaabannar”.

⛲SAWAL:

➡Agar dua-e-qunoot na padhe toh kya hukm hai ?

🌟JAWAB:


➡Agar dua-e-qunoot kasdan (jaan boojh) kar na padhe toh namaaze witr phir se padhe aur agar bhool kar na padhe toh aaqir me sajda-e-sahu kare.

⛲SAWAL:

➡Agar dua-e-qunoot padhna bhool jaaye aur ruku me yaad aaye toh kya kare ?

⛲JAWAB:

➡Agar dua-e-qunoot padhna bhool jaaye aur ruku me yaad aaye toh na qiyam ki taraf laute aur na ruku me padhe balki aaqir me sajda-e-shau kare.

```📌 Click Here For Other Parts-```
http://www.MjrMsg.blogspot.com/p/anwar-e-shariat.html