___________________________________
◼️ Har Nasha Aawar Cheez Haraam Hai Aur Har Tarah Ki Sharab Haraam Hai.
📕 Muslim, Jild 2, Safah 168
◻️ Jis Cheez Ki Kasrat Nasha De Uska Thoda Hissa Bhi Haraam Hai Agar Che Utne Se Nasha Na Ho.
📕 Attamheed, Jild 1, Safah 252
◼️ Jo Duniya Me Sharab Peeta Hai Wo Jannat Me Usse Mahroom Rahega
📕 Bukhari, Jild 2, Safah 836
Beshak Jannat Me Sharab Hogi Magar Aesi Nahin Jaisi Ki Hum Duniya Me
Dekhte Hain Ki Idhar Halaq Se Neeche Utri Aur Udhar Aadmi Insaan Se
Jaanwar Bana Nahin Balki Wahan Ki Sharab Ke Baare Me Khud Maula Farmata
Hai ~
Unpar Daura Hoga Nigah Ke Saamne Bahti Sharab Ke Jaam Ka.
Safed Rang Peene Waalon Ke Liye Lazzat. Na Usme Khumaar Hai Aur Na Usse
Unka Sar Phire.
📕 Paara 23, Surah Saaffat, Aayat 45--47
Wo Jaam Jisme Na Behudgi Hai Aur Na Gunahgari.
📕 Paara 27, Surah Toor, Aayat 23
Aur Unhein Unke Rub Ne Suthri Sharab Pilayi.
📕 Paara 29, Surah Dahar, Aayat 21
Ye
Hogi Jannat Ki Sharab Jiske Peene Se Na To Nasha Hoga Aur Na Peit Me
Dard Hoga Na Insaan Bahkega Aur Na Gaali Galauch Ki Naubat Aayegi Balki
Iske Peene Se Mushk Ki Tarah Khushbudar Pasina Niklega, Aaiye Ab Duniya
Ki Sharab Par Wapas Lautte Hain.
◼️ Sharab Ka Aadi But Parast Ki Tarah Hai.
📕 Musnad Ahmad, Jild 1, Safah 272
Teen Aadmi Jannat Me Nahin Jayenge ~
1). Maa-Baap Ka Nafarmaan.
2). Aadi Sharabi.
3). Dayyus Yaani Wo Jiski Biwi Beparda Ghoomti Ho Aur Ye Mana Na Karta Ho.
📕 Majmauz Zawayed, Jild 4, Safah 327
📕 Nisayi, Jild 2, Safah 331
◼️ Jo Sharab Peeta Hai Maula Uska Koi Amal Qubool Nahin Karta Na Namaz Aur Na Koi Dua.
📕 Kanzul Ummal, Jild 5, Safah 365
◻️
Chor Jab Chori Karta Hai To Wo Momin Nahin Rahta, Zaani Jab Zina Karta
Hai To Wo Momin Nahin Rahta, Sharabi Jab Sharab Peeta Hai To Wo Momin
Nahin Rahta.
📕 Bukhari, Jild 2, Safah 1001
Yaani Agar Ye Kaam Jayaz Samajhkar Kiya To Imaan Se Mahroom Ho Jaata Hai
◼️
Huzoor Sallallahu Taala Alaihi Wasallam Irshad Farmate Hain Ki Mere Rub
Ne Apni Izzat Ki Kasam Khaayi Hai Ki Jo Koi Duniya Me Jitne Ghoont
Sharab Ka Piyega To Main Use Utna Hi Jahannam Ka Khaulta Paani Pilaunga.
📕 Tibraani, Jild 8, Safah 232
Agar
Ye Paani "HAMEEM" Hoga To Iske Baare Me Aata Hai Jaise Hi Ye Munh Ke
Qareeb Aayega Insaan Ke Chehre Ki Khaal Gal Kar Isme Gir Jayegi Aur Jab
Wo Ise Piyega To Wo Paani Aant Ko Kaatta Hua Peechhe Ke Maqaam Se Nikal
Jayega Aur Agar Ye Paani "GASSAK" Hoga To Iske Baare Me Aata Hai Ki
Agar Iska Ek Dol Duniya Me Daal Diya Jaaye To Poori Duniya Waale Sad