____________________________________

09. Abul Qasim Suleman bin Ahmad bin Al Tabrani Imam Tabrani (Born 260 Hizri - 360 Hizri) :

Imam Abu Bakr Makri رحمة الله عليه​ kehte hai mai aur Imam Tabrani aur Abu Shaikh teeno harme Nabvi ﷺ Pe Faake se the jab Isha ka Wakt aaya Maine Roza E Akdas pe haazir hoke arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ ! Hum Log Bhuke Hai Aur ye keh ke mai laut aaya.

🌺Imam Tabrani Ne mujhse kaha baitho RIZK aayega Ya MAUT. Imam Abu Bakr Makri farmate hai Mai Aur Abu Shaikh to sogaye par Imam Tabrani baithe rahe ek Alvi ne aake Darwaja khat khataya.

🌼Humne Khola to phir kya dekhte hai uske saath do gulam the dono ke haath me khane se bhari thokri hai jo bahot kism ke khano se bhari hai. Hum logo ne khana khaya aur socha ki bacha khana us gulam ko de dein taaki le jaaye magar wo baaki khana bhi hamare pass chod gaya.

Khane se farig hoke us ALVi ne humse pucha kya aap logo ne RASOOL ALLAH ﷺ se khane ki faryaad ki thi ? Kyuki Mujhe Rasool Allah ﷺ ne khwab me hukm diya tha ke tumhare
pass kuch khana le jaaye.

📜(Imam Samhoodi ne Al Wafa Ul Wafa Jild : 01, Pg : 1380/1381)
[AL-HAFIZ IBN JAWZI, KITAB AL WAFA, PAGE 818]

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html