___________________________________
Hadees No.2

Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ suraj dhhal jaane ke baad bahar tashreef laaye fir humko zuhar ki Namaz padhayi. Jab salaam fer diya to Aap ﷺ mimber par jalwa afroz huye aur Qayamat ka zikr Farmaya aur un bade bade umoor ka jo isse pahle hai fir farmaya agar koi mujhse jo kisi cheez ke baare me puchna chahe to puch lo Khuda Ki Kasam Tum mujhse jo puchoge main bata dunga jab tak main is jagah hun. Hazrat Anas ka bayaan hai log Zaaro kataar rone lage aur Rasoolullah ﷺ Baar baar farmate rahe jo chaho mujhse puchlo Hazrate Anas ka bayan hai ek sahab ne khade hokar pucha ki Yaa Rasoolullah ﷺ mera thikana kaha hoga Farmaya Dozakh mein fir Hazrate Abdullah Ibne Huzafa khade huye arz karne lage Yaa Rasoolullah ﷺ Mera Baap Kaun hai ? Farmaya Tumhara baap huzafa hai. Raawi ka bayan hai ki fir Aap ﷺ baar baar farmate hai ki mujhse pucho mujhse pucho chunache Hazrate Umar رضي الله عنه ghutno ke bal khade ho kar kahne lage -

Hum Allah Ke Rab Hone aur Muhammad ﷺ ke Rasool Hone par Raazi hai . Jab Hazrate Umar رضي الله عنه ne ye guzarish ki to Rasoolullah ﷺ khamosh ho gaye. Fir Rasoolullah ﷺ ne irshad
farmaya kasam us zaat ki jiske kabze me meri jaan hai Abhi Abhi is deewar ke samne mujh par Jannat aur dozakh pesh ho gai jab ki main Namaz padh raha tha to Aaj ki tarah maine khair aur shar ko nahi dekha.

📕 » Bukhari Jild 2, safa 1083
📕 » Muslim Jild 2, Safa 263


Khuda Hi Jaane Ubaid Unko ﷺ Hai Pata Kya-Kya,
Hame Pata Hain Bas Itna Huzoor ﷺ Jaante Hai.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html