___________________________________
✔ Hadees No. 19
Hazrate Ayesha رضي الله عنها se marvi hai ki Nabi E Paak ﷺ jab Aleel (bimar) huye to Hazrate Fatima رضي الله عنها haazir hui aur Aap ﷺ par jhuk gayi Aap ﷺ ka bosa liya fir sar uthaya aur Ro padi. Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi . Hazrate Ayesha رضي الله عنها kahti hai ki maine dil me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to Aam aurato ki tarah hai.
Jab Huzoor ﷺ ka wisaal ho gaya to Maine inse maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E Kareem ﷺ par jhunki aur sar uthaya to ro rahi thi fir dubara jhunk kar sar uthaya to hans rahi thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima رضي الله عنها ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hun. Huzoor ﷺ ne mujhko bataya ki mera isi marz se wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi to main Hans padi.
📕 »» Tirmizi Jild 2, Safa 227
📕 »» Mishkat Safa 568
(Yahi Hadees ●Bukhari aur Muslim ● dono mein hai )
➡ Yaani Huzoor ﷺ ne Hazrate Fatima رضي الله عنها ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya ki main is marz mein duniya se chala jaunga aur Hazrate Fatima رضي الله عنها ke wisaal se bhi ki Ahle Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur waqayi Hazrate Fatima رضي الله عنها Huzoor ﷺ ke
baad sirf 6 Maah Duniya mein rahi.
Main Unki Baat Karu Kya Ye Nahi Meri Aukaat,
Ke Shaane Fatima Zahra Huzoor ﷺ Jaante Hai.
___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html