___________________________________
◼️ Hadise Paak Me Aata Hai Ki Sharab Se Bacho Ki Sharab Ummul Khabayis Hai Yaani Tamam Buraiyon Ki Asl Yaani Maa Hai.
📕 Kashful Khifa, Jild 1, Safah 459
◻️ Tafseere Azizi Me Ibne Jareer Wa Abi Haatim Ke Hawale Se Likha Hai Ki Hazrat Idrees Alaihissalam Ke Zamane Me Insaan Bahut Bad Amal Ho Gaya To Farishton Ne Khuda Ki Baargah Me Arz Kiya Ki Maula Insaan Bahut Badkaar Hai Jaisa Ki Takhleeke Aadam Se Pahle Bhi Unka Yahi Maanna Tha Ki Insaan Khilafat Ke Qaabil Nahin Hai, Ab Usi Baat Ki Taraf Ishara Karte Huye Wo Chahte The Ki Insaan Ko Khilafat Se Mazool Kar Diya Jaaye Ya Phir Kam Se Kam Humko Wazeer Bana Diya Jaaye Ki Unke Bigde Huye Kaam Hum Sambhaal Lein.
Rub Taala Farmata Hai Ki Maine Insaan Ko Gussa Aur Shahwat Di Hai Tumhein Nahin Agar Ye Cheezein Tumhein Mil Jaaye To Tum Bhi Wahi Karoge Jo Wo Karte Hain, Is Par Farishton Ne Arz Kee Ki Ae Maula Hum Kabhi Bhi Teri Nafarmani Nahin Kar Sakte.
Maula Farmata Hai Ki Jo Main Jaanata Hoon Wo Tum Nahin Jaante Agar Tumhein Itminaan Na Ho To Jao Apni Jamaat Me Se 2 Aese Farishte Le Aao Jo Tumme Bahut Zyada Parhezgar Hon, Tab Farishton Ne Apni Jamaat Me Se 2 Farishte Yaani HAAROOT Wa MAAROOT Ko Muntakhib Kiya.
Rub Ne Un Dono Ko Gussa Aur Shahwat Dekar Farmaya Ki Main Tum Dono Ko Shahre Baabul Me Utaarta Hoon Tum Log Qaazi Ban Kar Logon Ka Faisla Karna Aur Shaam Ko Isme Aazam Ke Zariye Wapas Aasman Par Aa Jaana.
Wo Dono 1 Mahine Tak Logon Ke Darmiyan Faisla Karte Rahe Aur Is 1 Mahine Me Unke Adlo Insaaf Ka Charcha Poore Shahar Me Ho Gaya Tha Aur Bahut Saare Muqadme Un Logon Ke Paas Aane Lage The.
Ek Din Ek Khoobsurat Aurat Haazir Huyi Jiska Naam Baidkhat Aur Laqab Zuhra Tha Wo Shahre Faaras Ki Rahne Waali Thi Aur Usne Apne Shauhar Ke Khilaf Muqadma Qaayam Kiya Tha, Wo Dono Use Dekhte Hi Uspar Fida Ho Gaye Aur Usse Bad Feily Ki Khwahish Zaahir Ki Jise Usne Ye Kahkar Inkaar Kar Diya Ki Tum Logon Ka Deen Alag Hai Aur Mera Deen Alag, Aur Mera Shauhar Bada Gairatmand Aadmi Hai Agar Usko Khabar Ho Gayi To Wo Mujhe Qatl Kar Dega, To Iske Liye Ya To Tum Pahle Apna Deen Chhodo Aur Buton Ko Sajda Karlo Ya Phir Mere Shauhar Ko Hi Qatl Kardo Un Dono Ne Inkaar Kar Diya To Wo Chali Gayi, Magar Un Dono Ke Dilon Me Use Paane Ki Chaah Bhadak Uthi Thi.
Aakhirkar Ek Din Dono Uske Ghar Pahunch Gaye Aur Phir Apni Aarzu Zaahir Kee, Usne Phir Wahi Baat Kahi Magar Is Bar Baat Ko Aage Badhate Huye Boli Ki Agar Tumhein Is Baat Ko Maanne Me Dushwari Hai To Mujhe Isme Aazam Hi Sikha Do Ya Phir Sharab Hi Pee Lo, Un Logon Ne Socha Ki But Parasti Shirk Hai Aur Qatl Karna Huququl Ibaad Aur Isme Aazam Ka Sikhana Ye Zulme Azeem Hoga Ki Asrare Ilaahi Ko Zaahir Karna Hai Magar Sharab Pee Sakte Hain, Ye Sochkar Un Dono Ne Sharab Pi Li Aur Nashe Ki Haalat Me Usse Zina Bhi Kiya, Us Aurat Ne Apne Buton Ko Sajda Bhi
Kara Liya, Apne Shauhar Ko Qatl Bhi Kara Diya Aur Isme Aazam Bhi Poochh Liya, Wo Isme Aazam Ke Zariye Aasman Par Pahunch Bhi Gayi Magar Rub Ne Use Zohra Sitare Se Muttasil Kar Diya.
Idhar Jab Un Dono Ka Nasha Utra To Ye Dono Isme Aazam Bhool Chuke The Aur Apne Kiye Par Bahut Naadim Huye, Farishton Ki Jamaat Me Kohram Mach Gaya Sab Rote Gidgidate Rub Ki Baargah Me Pahunche Aur Un Dono Ke Liye Maafi Chahi, Tab Maula Farmata Hai Ki Insaan Meri Tajalli Se Door Rahta Hai Magar Ye Dono Har Roz Haazire Baargah Hote The Jab Ye Shahwat Ka Galba Nahin Bardaasht Kar Paaye To Agar Insaan Se Gunaah Hota Hai To Kya Taajjub Hai, Ispar Farishton Ne Insaan Ko La'an Ta'an Karna Chhod Diya Aur Insaano Ke Liye Duae Magfirat Karne Lage.
Udhar Haroot Wa Maroot Hazrat Idrees Alaihissalam Ki Baargah Me Haazir Hokar Rub Se Maafi Ki Sifarish Karne Lage Tab Hazrat Idrees Alaihissalam Ne Bhi Unki Magfirat Ki Dua Ki, Maula Farmata Hai Ki Ae Nabi Gunaah To Inse Hua Hai Aur Saza To Inhein Bhugatni Hi Padegi Ab Inhein Ikhtiyar Hai Ki Duniya Ka Azaab Qubool Karen Ya Phir Aakhirat Ka, Haroot Wa Maroot Ne Kaha Ki Ae Nabi ALLAH Beshak Aakhirat Ka Azaab Daaymi Yaani Hamesha Ka Hai To Hamein Duniya Ka Azaab Manzoor Hai Ki Wo Azaab Faani Hoga, Tab Maula Ne Farishton Ko Hukm Diya Ki Inhein Lohe Ki Zanjiron Me Jakadkar Kunwe Me Ulta Latka Do aur Neeche Aag Laga Do Aur Farishte Unhein Baari Baari Se Koda Maarte Rahte Hain, Wo Isi Tarah Hazaron Saal Se Shahre Baabul Ke Kisi Kunwe Me Azaabe Ilaahi Me Giraftar Hain.
📕 Kya Aap Jaante Hain, Safah 204
📕 Muqashifatul Quloob, Safah 602
◼️ Jisne Sharab Pi Li To Ab Usse Nashe Ki Haalat Me Kuchh Bhi Karwa Lo Jaisa Ki Aapne Padh Hi Liya Aur Unka Azaab Bhi Padh Liya Ki Jaane Kab Se Wo Azaab Me Hain Aur Kab Tak Rahenge Ye ALLAH Aur Uska Mahboob Hi Behtar Jaanta Hai, Ye Bhi Pata Chala Ki Insaan Se Gunah Hona Koi Ajab Nahin Magar Us Gunah Par Naadim Na Hona Aur Usse Tauba Na Karna Ye Ajab Hai, Lihaza Achchha Banda Wahi Hai Jo Apne Gunahon Par Sharminda Ho Aur Sachchi Tauba Karle.
End.... 🔚🔚🔚
--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ Naushad Ahmad Zeb Razvi (Zebnews)
📌 Click Here For Relative Post-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/sharab-noshi-roman.html