___________________________________
Hadees No.17

Hazrate Abu Moosa Ash-ari رضي الله عنه farmate hai ki Nabi E Kareem ﷺ ek baag mein daakhil huye aur mujhko baag ke darwaze par dekh bhaal ka huqm diya fir Ek Aadmi ne Aa kar ijazat maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki inhe Andar Aane ki ijazat de do aur Jannat ki Basharat de do Maine Dekha wo Shakhs Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله عنه the fir Dusre Shakhs ne Ijazat Maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya inhe andar aane ki ijazat de do aur Jannat Ki Basharat de do maloom hua wo Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه the fir aur ek Shakhs se Ijazat maangi to Huzoor ﷺ thodi der khamosh rahe aur farmaya inhe bhi ijazat dedo aur Jannat ki basharat dedo lekin ek musibat ke sath jo inhe pahuchegi to maloom hua ki wo Hazrate Usmane Gani رضي الله عنه hai.

📕 »» Sahih Bukhari Jild 1, Safa 522
📕 »» Muslim Jild 2, Safa 277


Is Hadees se Maloom hua ki Rasoolullah ﷺ baag ke andar jalwa farma the aur darwaze par aane wale ko pehchan lete the aur ye bhi irshad farma dete the ki wo Imaan wa hidayat par qayam rahenge yaani Jannat mein jayenge aur Hazrate Usman رضي الله عنه ke baare mein Aap ﷺ ko ye
bhi Ilm tha ki un par ek din musibat aayegi Yaani balwayi unka muhasra kar lenge aur fir Unko Be-rahmi ke sath ghar mein Shaheed kar diya jayega.

Wo Daso Jinko Jannat Ka Mujdah Mila,
Us Mubarak Jama'at Pe Lakhon Salaam.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html