___________________________________

Hadees No. 7

Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne maidane jung mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki jagah hai aur ye falan kee. Raawi kahte hain ki jis ko Rasoolullah ﷺ ne jahan hath rakh kar farmaya tha wahi par wo maara gaya.

📕 »» Sahih Muslim Jild 2, Safa 102
📕 »» Nasayi Jild 1, Safa 226


Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagaana mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi huyi hai aur Aap ﷺ ne ek-ek kaafir ke maare jaane ki
jagah ki nishaandehi farma di goyaa Aap ﷺ ye bhi jaante the ki kaun - kaun maara jayega aur ye bhi jaante the ki kahan maara jayega.


Kahan Marega Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Kee jung e Badr ka Naqsha Huzoor ﷺ Jaante Hain.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html