〰〰〰〰〰〰〰〰〰
08

SAWAL : RAJAB Ki 22 Ko Ameer Muawiya Radiallahu Anhu ka Wisal Hua, Is Liye RAAFZI (Shia) Khushi Me Sheerni Pakaate Hai, To Is Surat Me 22 Rajab Ko Niyaz Taqseem Karna Kaisa ?

JAWAB : Shari'at Ka Usool Hai Ki Kisi Achhe Amal Ko Bad Mazhab Apna Len To Is Wajah Se Use Tark Nahi Kiya Jaayega Balki Koi Aesa Imtiyaz Karna Hoga Jis Se Faraq Zaahir Ho. Jaise 10 Muharram Ka Roza Yahudi Rakhte To Sarkar Sallallahu Alaihiwasallam Ne 9 ya 11 Ke Roze Ki Talqin Bhi Farmayi.


09

SAWAL : SUNNI Aur SHIYA Ke KUNDO Me Farq Kya Hai ?

JAWAB : Darasal Shiya Khaas 22 Rajab Hee Ko KUNDEY Banate Hain Aur SUNNI To Saara
Mahina Hee Banate Hai Aur Sab Se Bara Fark NIYAT Hai Ki SUNNI IMAM JAFAR Ko Esaal _e_ Sawab Karte Hain Jab Kee Shiya HAZRAT MUAWIYA Ke Bugz Me Aesa Karte Hain.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/kundey-ki-haqeeqat.html