___________________________________
Hadees No.21

Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek Baar Huzoor ﷺ ne Humko Zuhar ki Namaz padhayi aur sab se picchli saf mein ek aadmi khada tha jis ne thik se Namaaz nahi padhi to jab Huzoor ﷺ salaam fera to us shakhs ko Naam lekar Pukara aur farmaya aye fulañ kya tu Allah Se Nahi Darta ? Ye tu kaise Namaaz Padhta Hain ? Kya tum Log Ye khayal karte ho ki tumhare aamaal mein se mujhse kuch chhupa rehta hai ?
Kasam Allah Rabbul Izzat Ki main Jaise Apne Saamne dekhta hu waise hi picche bhi dekhta hu.

Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne riwayat kiya

📕 »» Mishkat Baab Siftis'salat, Safa 77


Sabse Picchli Saf mein hone ka matlab hai ki Sarkar ﷺ mein aur usme kaafi faasla tha us zamane mein har Musalman Namazi tha Masjide Nabawi shareef Namaziyon se bhar jaati thi fir Bhi Aap ﷺ ne uski Namaz ki kami ko mulahiza farma liya fir sarahat farma di ki tumhari har halat
mere upar roushan hai.

Kis Lab Pe Kya Dua Hain Sarkar ﷺ Jaante Hain,
Kiske Dilo Mein Kya Hain Sarkar ﷺ Jaante Hain.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html