___________________________________
Hadees No. 6

Jis waqt mulqe Shaam mein Maqaam Mutooh mein Muslamano aur isaaiyon ke darmiyan jung jaari thi Rasoolullah ﷺ Madeene Paak mein Apne Sahaba mein farma rahe the.

Zaid ne Alam ko uthaya to wo Shaheed ho gaye fir Jaafar ibne Abi Talib ne Alam uthaya to wo shaheed ho gaye fir jung ka jhanda Abdullah Ibne Rawaha ne utha liya to wo bhi Shaheed ho gaye Jung ka Manzar bayan karte huye Rasoolullah ﷺ ki Aankhon mein Aansuu jaari ho gaye the Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya ki ab Baghair Sardar banaye Khalid Ibne waleed ne jhanda le liya to Ab Musalmano ko fatah naseeb ho gayi.

📕 »» Bukhari Jild 1, safa 167


yeh Mutooh ka maqaam Madeene Shareef se Hazaaron meel ki doori par hai Aur Rasoole Paak ﷺ wahan hone wali Jung Ko Madeena Tayyaba mein rah kar mulahiza farma rahe hai aur Apne As-haab ko jung ke haalaat bhi bata rahe hai aur jaanisaro ki shahadat par Aansuu
bhi baha rahe hai.

Yeh Sab Ilme Gaib Nahi To Aur Kya Hai ??

Ae Ilme Gaib Ke Munqir Khuda Ko Dekha Hai ???
Tujhe Bhi Kahna Padega Huzoor ﷺ Jante Hai.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html