____________________________________
29. Shah Waliyullah Dehlvi رحمة الله عليه​ (Born 1114 - 1176 Hizri) :

🌼Aap Likhte Hai Ki Walid Giramee Shah Abdurrahim Qibla Ne Farmaya Ek Baar Mai Hazarat Khwaja Qutqbuddin Bakhtyar Kaki رحمة الله عليه​ Ke Mazar Ki Ziyarat Ke Liye Gaya. Aap Ki Mubarak Ruh Jahir Hui Aur Mujh Se Farmaya Ki Tumhe Ek Farzand Paida Haga. Us Ka Naam Qutubuddin Ahmad Rakhna.

Us Waqt Meri Umar Ke Us Hisse Tak Pahuch Chuki Thi Jis Me Aulad Ka Paida Hona Namumkin Hota Hai. Maine Soncha Ki Sayad Is Se Murad Bete Ka Farjand Yani Pota Hai. Mere Is Waham Par Aap Fauran Aagah Hogaye Aur Farmaya Mera Maqsad Yah Nahi Balki Yah Farzand (Jiski Khushkhabri Di Gayi Hai) Khud Tumhare Nutfe Se Hoga.

Kuchh Arso Baad Dusre Nikah Ka Khyal Paida Huaa Aur Usi Se Fakir Waliyullah Paida
Huaa. Meri Paidais Ke Waqt Walid Majid Ke Jahan Se Yah Waqiya Utqr Gaya. Is Liye Unhone Waliyullah Naam Rakh Diya. Kuchh Arsa Baad Jab Unhe Yah Waqiya Yaad Aya To Unhone Mera Naam Qutubuddin Ahmad Rakkha.

📜(Anfaasul’aarifeen Pg.110)

--------------------------------------------------------
🖌️Post Credit~ ℹshq e Nabi ﷺ Whatsapp Group

📌 Click Here For Other Part-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/waseela.html