___________________________________
Hadees No. 23

Hazrate Abu Saeed Khudari رضي الله عنه ne Masjide Nabawi ki tameer ka zikr farmate huye farmaya ki Hum log ek-ek iint uthate the aur Ammar Ibne Yaasir do-do to Rasoolullah ﷺ ne inhe dekha to Huzoor ﷺ inke jism se mitti jhaadte jaate aur farmate ki Ammar par kada waqt aayega inhe ek baagi giroh Qatl karega aur ye unhe Jannat ki taraf bulate honge aur wo inhe dozakh ki taraf. Abu Saeed ne kaha ki Ammar kaha karte the ki Main fitno se Allah ki panah mangta hun.

📕 »» Bukhari Shareef Jild 1, Safa 24


Is Hadees Se Maloom hua ki Huzoor ﷺ ye bhi jaante the ki Ammar Shaheed kiye jayenge aur
ye bhi ki inhe kuun shaheed karega.

Izaat Se Naa Mar Jaaye Q Naame Muhammad ﷺ Par,
Yun Hi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai.

___________________________________
📌 Click Here For Other Parts-
https://MjrMsg.blogspot.com/p/ilme-gaib.html